الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {سَيُهْزَمُ الْجَمْعُ وَيُوَلُّونَ الدُّبُرَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“Their multitude will be put to flight." (V.54:45)
Show diacritics
Hadith Number: 4875
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس. ح وحدثني محمد، حدثنا عفان بن مسلم، عن وهيب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال وهو في قبة يوم بدر:"اللهم إني انشدك عهدك ووعدك، اللهم إن تشا لا تعبد بعد اليوم"، فاخذ ابو بكر بيده، فقال: حسبك يا رسول الله، الححت على ربك وهو يثب في الدرع، فخرج وهو يقول:" سيهزم الجمع ويولون الدبر سورة القمر آية 45".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne byaan kiya, kaha hum se Khalid Hazza ne byaan kiya, un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne (doosri sanad) aur mujh se Muhammad bin Yahya Zhuhli ne byaan kiya, kaha hum se Affan bin Muslim ne byaan kiya, un se Wuhaib ne kaha hum se Khalid Hazza ne un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jabke Aap Badr ki larayi ke din ek khaime mein thay aur yeh dua kar rahe thay ke Ae Allah! Main tujhe tera ahad aur waada e nusrat yaad dilata hoon. Ae Allah! Teri marzi hai agar tu chahe (in thore se Musalmanon ko bhi halak kar de) phir aaj ke baad teri ibadat baqi nahi rahe gi. Phir Abu Bakr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka hath pakar liya aur arz kiya: bas ya Rasool Allah! Aap ne apne Rabb se bahut hi ilhah o zari se dua kar li hai. Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam zirah pehne huay chal phir rahe thay aur Aap khaime se niklay to zaban mubarak par yeh aayat thi «sayuhzhamul jam'u wa yuwalloonad-dubura» ”so anqareeb (kafiron ki) jama'at shikast khaye gi aur yeh sab peeth pher kar bhagein ge.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain