الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {يَغْشَى النَّاسَ هَذَا عَذَابٌ أَلِيمٌ}:
Chapter.“Covering the people, this is a painful torment.”(V.44:11)
Show diacritics
Hadith Number: 4821
حدثنا يحيى، حدثنا ابو معاوية، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، قال: قال عبد الله: إنما كان هذا لان قريشا لما استعصوا على النبي صلى الله عليه وسلم دعا عليهم بسنين كسني يوسف، فاصابهم قحط، وجهد حتى اكلوا العظام، فجعل الرجل ينظر إلى السماء، فيرى ما بينه وبينها كهيئة الدخان من الجهد، فانزل الله تعالى: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين {10} يغشى الناس هذا عذاب اليم {11} سورة الدخان آية 10-11، قال: فاتي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقيل له: يا رسول الله، استسق الله لمضر، فإنها قد هلكت، قال لمضر:" إنك لجريء"، فاستسقى لهم، فسقوا، فنزلت: إنكم عائدون سورة الدخان آية 15، فلما اصابتهم الرفاهية عادوا إلى حالهم حين اصابتهم الرفاهية، فانزل الله عز وجل: يوم نبطش البطشة الكبرى إنا منتقمون سورة الدخان آية 16، قال: يعني يوم بدر.
Hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abu Muawiyah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Muslim ne , un se Masrooq ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke yeh (qaht) is liye para tha ke Quraysh jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki dawat qabool karne ki bajaye shirk par jame rahe to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un ke liye aise qaht ki bad-dua ki jaisa Yusuf alaihissalam ke zamana mein para tha . Chunanche qaht ki naubat yahan tak pahunchi ke log hadiyan tak khane lage . Log aasman ki taraf nazar uthate lekin bhook aur faqa ki shiddat ki wajah se dhuwein ke siwa aur kuch nazar na aata isi ke mutalliq Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «fartaqib yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin * yaghshan-naasa hazha azhaabun aleemun» ”to Aap intizar karein is roz ka jab aasman ki taraf nazar aane wala dhuwaan paida ho jo logon par chha jaye , yeh ek dard-naak azab ho ga .“ Byaan kiya ke phir ek sahab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz ki ya Rasool Allah! Qabila Mudar ke liye barish ki dua kijiye ke woh barbad ho chuke hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Mudar ke haq mein dua karne ke liye kehte ho , tum bare jari ho . Aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke liye dua farmayi aur barish hui . Is par aayat «innakum aa'idoona» nazil hui (yani agarchay tum ne iman ka waada kiya hai lekin tum kufr ki taraf phir laut jao ge) chunanche jab phir un mein khush-haali hui to shirk ki taraf laut gaye (aur apne iman ke waade ko bhula diya) is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «yawma nab-tishul bat-shatal kubra inna muntaqimoona» ”jis roz hum bari sakht pakar pakrein ge (is roz) hum poora badla le lein ge .“ Byaan kiya is aayat se murad Badr ki larayi hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain