الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَنَادَوْا يَا مَالِكُ لِيَقْضِ عَلَيْنَا رَبُّكَ} الآيَةَ:
Chapter. The Statement of Allah:“And they will cry: ’O Malik (Keeper of Hell)! Let your Lord make an end of us’ He will say, ’Verily, you shall abide forever.’ ”(V.43:77)
Hadith Number: 4819
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا سفيان بن عيينة، عن عمرو، عن عطاء، عن صفوان بن يعلى، عن ابيه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا على المنبر: ونادوا يا مالك ليقض علينا ربك سورة الزخرف آية 77، وقال قتادة: مثلا للآخرين عظة لمن بعدهم، وقال غيره: مقرنين: ضابطين، يقال فلان مقرن لفلان ضابط له والاكواب الاباريق التي لا خراطيم لها، اول العابدين: اي ما كان فانا اول الآنفين وهما لغتان رجل عابد وعبد وقرا عبد الله: وقال الرسول يا رب، ويقال اول العابدين الجاحدين من عبد يعبد، وقال قتادة: في ام الكتاب جملة الكتاب اصل الكتاب.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr ne , un se Ata ne , un se Safwan bin Yala ne aur un se un ke walid ne ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko mimbar par yeh aayat parhte suna «wa naadau ya maaliku liyaqdi alayna rabbuka» ”aur yeh log pukarein ge ke Ae Maalik! Tumhara Parvardigar hamara kaam hi tamam kar de .“ Aur Qatadah ne kaha «masalan lil-aakhireena» yani pichhlon ke liye nasihat . Doosre ne kaha «muqrineena» ka maani qaboo mein rakhne wale . Arab log kehte hain fulaana fulaane ka «muqrinun» hai yani is par ikhtiyar rakhta hai (is ko qaboo mein laya hai) . «akwaabun» woh kooze jin mein tonti na ho balkay munh khula hua ho jahan se aadmi chahe piye . «in kaana lir-rahmaani waladun» ka maani yeh hai ke is ki koi aulad nahi hai . (is surat mein «in» nafiya hai) «aabideena» se «aanifeena» murad hai . Yani sab se pehle main is se «aar» karta hoon . Is mein do lughat hain «aabidun wa abidun» aur Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne is ko «wa qaalar-rasoolu ya rabbi» parha hai . «awwalul aabideena» ke maani sab se pehla inkar karne wala yani agar Khuda ki aulad sabit karte ho to main is ka sab se pehla inkari hoon . Is surat mein «aabideena» baab «abada yabudu» se aaye ga aur Qatadah ne kaha «fee ummil kitabi» ka maani yeh hai ke majmu-i kitab aur asal kitab (yani Lauh e Mahfooz mein) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة