الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَذَلِكُمْ ظَنُّكُمُ الَّذِي ظَنَنْتُمْ بِرَبِّكُمْ أَرْدَاكُمْ فَأَصْبَحْتُمْ مِنَ الْخَاسِرِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And that thought of yours which you thought about your Lord, has brought you to destruction, and you have become (this Day) of those utterly lost!”(V.41:23)
Show diacritics
Hadith Number: 4817
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" اجتمع عند البيت قرشيان وثقفي او ثقفيان وقرشي كثيرة شحم بطونهم قليلة فقه قلوبهم، فقال احدهم: اترون ان الله يسمع ما نقول، قال الآخر: يسمع إن جهرنا، ولا يسمع إن اخفينا، وقال الآخر: إن كان يسمع إذا جهرنا، فإنه يسمع إذا اخفينا، فانزل الله عز وجل: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم ولا جلودكم سورة فصلت آية 22 الآية"، وكان سفيان يحدثنا بهذا، فيقول: حدثنا منصور، او ابن ابي نجيح، او حميد احدهم، او اثنان منهم، ثم ثبت على منصور، وترك ذلك مرارا غير مرة واحدة،
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mujahid ne byaan kiya , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Khana Kaaba ke paas do Qurayshi aur ek Saqafi ya ek Qurayshi aur do Saqafi mard baithe huay thay . Un ke pait bahut mote thay lekin aqal se kore . Ek ne in mein se kaha , tumhara kya khayal hai kya Allah hamari baaton ko sun raha hai ? Doosre ne kaha agar hum zor se bolein to sunta hai lekin aahista bolein to nahi sunta . Teesre ne kaha agar Allah zor se bolne par sun sakta hai to aahista bolne pe bhi zaroor sunta ho ga . Is par yeh aayat utri «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum wa la absaarukum wa la juloodukum» ke ”aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte ke tumhare kaan aur tumhari aankhein aur tumhare chamre gawahi dein ge .“ Aakhir aayat tak . Sufyan hum se yeh hadees byaan karte thay aur kaha ke hum se Mansoor ne ya Ibn Najeeh ne ya Humayd ne in mein se kisi ek ne ya kisi do ne yeh hadees byaan ki , phir Aap Mansoor hi ka zikr karte thay aur doosron ka zikr ek se zyada martaba nahi kiya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain