الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {يس}:
SURAT YA-SIN
Hadith Number: Q4802
وقال مجاهد: فعززنا: شددنا، يا حسرة على العباد: كان حسرة عليهم استهزاؤهم بالرسل، ان تدرك القمر: لا يستر ضوء احدهما ضوء الآخر، ولا ينبغي لهما ذلك، سابق النهار: يتطالبان حثيثين، نسلخ: نخرج احدهما من الآخر، ويجري كل واحد منهما، من مثله: من الانعام، فكهون: معجبون، جند محضرون: عند الحساب، ويذكر عن عكرمة: المشحون: الموقر، وقال ابن عباس: طائركم: مصائبكم، ينسلون: يخرجون، مرقدنا: مخرجنا، احصيناه: حفظناه مكانتهم ومكانهم واحد.
Aur Mujahid ne kaha ke «fa-azzazna» ay «shaddadna» yani hum ne zor diya . «ya hasratan alal ibaadi» yani Qayamat ke din kafir is par afsos karein ge (ya farishte afsos karein ge) ke unhon ne duniya mein paighambaron par thattha maara . «an tudrikal qamara» ka yeh matlab hai ke sooraj chaand ki roshni nahi chhupata aur na chaand sooraj ki . «saabiqun-nahari» ka matlab yeh hai ke yeh ek doosre ke peeche rawaan dawan hain . «naslakhu» hum raat mein se din nikal lete hain aur donon chal rahe hain . «wa khalaqna lahum mim-mislihi» se murad chaupaye hain . «fakihoona» khush o khurram (ya dil-lagi kar rahe hon ge) «jundun muhdaroona» yani hisab ke waqt hazir kiye jayein ge . Aur Ikrimah se manqool hai «mash-hoonin» ka maani bojhal , ladi hui . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ta'irukum» yani tumhari museebatein (ya tumhara naseeba) . «yansiloona» ka maani nikal parein ge . «marqadina» nikalne ki jagah se (khwabgah yani qabr se) . «ahsainahu» hum ne is ko mahfooz kar liya hai . «makanatihim» aur «makanahum» donon ka maani ek hi hai yani apne thikanon mein , gharon mein .