الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَتَرَى النَّاسَ سُكَارَى}:
Chapter. The Statement of Allah:“...And you shall see mankind as in a drunken state..." (V.22:2)
Hadith Number: 4741
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد الخدري، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم، يقول الله عز وجل يوم القيامة:" يا آدم، يقول: لبيك ربنا وسعديك، فينادى بصوت، إن الله يامرك ان تخرج من ذريتك بعثا إلى النار، قال: يا رب، وما بعث النار؟ قال: من كل الف اراه، قال: تسع مائة وتسعة وتسعين، فحينئذ تضع الحامل حملها، ويشيب الوليد، وترى الناس سكارى وما هم بسكارى ولكن عذاب الله شديد سورة الحج آية 2، فشق ذلك على الناس حتى تغيرت وجوههم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ياجوج وماجوج تسع مائة وتسعة وتسعين، ومنكم واحد، ثم انتم في الناس كالشعرة السوداء في جنب الثور الابيض، او كالشعرة البيضاء في جنب الثور الاسود، وإني لارجو ان تكونوا ربع اهل الجنة، فكبرنا، ثم قال: ثلث اهل الجنة، فكبرنا، ثم قال: شطر اهل الجنة، فكبرنا". قال ابو اسامة، عن الاعمش: وترى الناس سكارى وما هم بسكارى سورة الحج آية 2، وقال: من كل الف تسع مائة وتسعة وتسعين، وقال جرير، وعيسى بن يونس،وابو معاوية 0 سكرى وما هم بسكرى 0.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , kaha hum se Aamash ne , un se Abu Salih ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Paak Qayamat ke din Adam alaihissalam se farmaye ga . Ae Adam! Woh arz karein ge , main hazir hoon Ae Rabb! Teri farman-bardari ke liye . Parvardigar aawaz se pukare ga (ya farishta Parvardigar ki taraf se aawaz de ga) Allah hukm deta hai ke apni aulad mein se dozakh ka jattha nikalo . Woh arz karein ge Ae Parvardigar! Dozakh ka jattha kitna nikaloon . Hukm ho ga (rawi ne kaha main samajhta hoon) har hazar aadmiyon mein nau sau ninanway (goya hazar mein ek jannati ho ga) yeh aisa sakht waqt ho ga ke pait wali ka hamal gir jaye ga aur bacha (fikr ke maarey) burha ho jaye ga (yani jo bachpan mein mara ho) aur tu Qayamat ke din logon ko aisa dekhe ga jaise woh nasha mein matwale ho rahe hain haalan ke un ko nasha na ho ga balkay Allah ka azab aisa sakht ho ga (yeh hadees jo sahabah hazir thay un par sakht guzri . Un ke chehre (maarey darr ke) badal gaye . Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ki tasalli ke liye farmaya (tum itna kyun darte ho) agar Yajooj Majooj (jo kafir hain) ki nasl tum se milayi jaye to un mein se nau sau ninanway ke muqabil tum mein se ek aadmi pare ga . Gharz tum log hashr ke din doosre logon ki nisbat (jo dozakhi hon ge) aise ho ge jaise safaid bail ke jism par ek baal kala hota hai ya jaise kale bail ke jism par ek do baal safaid hote hain aur mujh ko umeed hai tum log saare jannatiyon ka chauthayi hissa ho ge (baqi teen hisson mein aur sab ummatein hon gi) . Yeh sun kar hum ne Allahu Akbar kaha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya nahi balkay tum tihayi ho ge hum ne phir naara e takbeer buland kiya phir farmaya nahi balkay aadha hissa ho ge (aadhe hissa mein aur ummatein hon gi) hum ne phir naara e takbeer buland kiya aur Abu Usamah ne Aamash se yun riwayat kiya «taran-naasa sukaara wa ma hum bi-sukaara» jaise mashhoor qirat hai aur kaha ke har hazar mein se nau sau ninanway nikalo (to un ki riwayat Hafs bin Ghiyas ke muwafiq hai) aur Jareer bin Abdul Hameed aur Esa bin Yunus aur Abu Muawiyah ne yun naqal kiya «sukara wa ma hum bi-sukara» (Hamzah aur Kasai ki bhi yahi qirat hai) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة