الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {لَقَدْ كَانَ فِي يُوسُفَ وَإِخْوَتِهِ آيَاتٌ لِلسَّائِلِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“Verily, in Yusuf (Joseph) and his brethren, there were Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) for those who ask." (V.12:7)
Hadith Number: 4689
حدثني محمد، اخبرنا عبدة، عن عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم، اي الناس اكرم؟ قال:" اكرمهم عند الله اتقاهم"، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال:" فاكرم الناس يوسف نبي الله، ابن نبي الله، ابن نبي الله، ابن خليل الله"، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال:" فعن معادن العرب تسالوني؟" قالوا: نعم، قال:" فخياركم في الجاهلية، خياركم في الإسلام إذا فقهوا". تابعه ابو اسامة، عن عبيد الله.
Mujh se Muhammad ne byaan kiya , kaha hum ko Abdah ne khabar di , unhein Ubaydullah ne , unhein Saeed bin Abi Saeed ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kisi ne sawal kiya ke insanon mein kaun sab se zyada shareef hai to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sab se zyada shareef woh hai jo sab se zyada muttaqi ho . Sahabah ne arz kiya ke hamare sawal ka maqsad yeh nahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir sab se zyada shareef Yusuf alaihissalam hain «nabiyyullahi-bnu nabiyyullahi-bnu nabiyyullahi-bnu khaleelillahi» . Sahabah ne arz kiya ke hamare sawal ka yeh bhi maqsad nahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha , Arab ke khandanon ke mutalliq tum maloom karna chahte ho ? Sahabah ne arz kiya ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahiliyat mein jo log shareef samjhe jate thay , Islam laane ke baad bhi woh shareef hain , jabke deen ki samajh bhi unhein haasil ho jaye . Is riwayat ki mutabia't Abu Usamah ne Ubaydullah se ki hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة