الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَقِمِ الصَّلاَةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِنَ اللَّيْلِ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ذَلِكَ ذِكْرَى لِلذَّاكِرِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And perform As-Salat (Iqamat-as-Salat) at the two ends of the day, and in some hours of the night; [i.e., five compulsory Salat (prayers)]. Verily, the good deeds remove the evil deeds (small sins)...”(V.11:114)
Show diacritics
Hadith Number: Q4687
وزلفا: ساعات بعد ساعات ومنه سميت المزدلفة الزلف، منزلة بعد منزلة، واما زلفى، فمصدر من القربى ازدلفوا اجتمعوا، ازلفنا: جمعنا.
«zulafan» yani ghari ghari isi se «Muzdalifatu» hai . Kyunke log wahan waqfa waqfa se aate rehte hain aur «zulafun» manzilon ko bhi kehte hain . «zulfa» ka lafz jo Surah Sad mein hai jaise «qurba» yani nazdeeki . «izhdalafoo» ka maani jama ho gaye . «azhlafna» mutaddi hai . Yani hum ne jama kiya . Ek shakhs kisi ghair aurat ko hath se chhoone ya sirf bosa de dene ka murtakib ho gaya tha is ke baare mein yeh aayat nazil hui .


Show diacritics
Hadith Number: 4687
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد هو ابن زريع، حدثنا سليمان التيمي، عن ابي عثمان، عن ابن مسعود رضي الله عنه: ان رجلا اصاب من امراة قبلة، فاتى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر ذلك له، فانزلت عليه: واقم الصلاة طرفي النهار وزلفا من الليل إن الحسنات يذهبن السيئات ذلك ذكرى للذاكرين سورة هود آية 114 قال الرجل: الي هذه؟ قال:" لمن عمل بها من امتي".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Sulayman Taymi ne byaan kiya , un se Abu Usman ne aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne ke ek shakhs ne kisi ghair aurat ko bosa de diya aur phir woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap se apna gunah byaan kiya . Is par yeh aayat nazil hui «wa aqimissalata tarafa-innahaari wa zulafan minal layli innal hasanaati yuzh-hibnas-sayyiaati zhalika zhikra lizhzhaakireena» ”aur tum namaz ki pabindi karo din ke donon siron par aur raat ke kuch hisson mein beshak naikiyaan mita deti hain badiyon ko , yeh ek nasihat hai nasihat maanne walon ke liye .“ In sahab ne arz kiya yeh aayat sirf mere hi liye hai (ke naikiyaan badiyon ko mita deti hain) ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri ummat ke har insan ke liye hai jo is par amal kare .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain