الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلَمْ تَجِدُوا مَاءً فَتَيَمَّمُوا صَعِيدًا طَيِّبًا}:
Chapter. Allah’s Statement:“...And you find no water, then perform Tayammum with clean earth...”(V.5:6)
Hadith Number: Q4607
تيمموا تعمدوا آمين عامدين اممت وتيممت واحد. وقال ابن عباس: لمستم وتمسوهن واللاتي دخلتم بهن والإفضاء النكاح.
«Tayammamu» yani «Ta'ammadu» isi liye aata hai yani qasd karo . «Ameen» yani «Aamidin» qasd karne wale . «Amamtu» aur «Watayammamtu» ek hi maani mein hai . Ibn Abbas rz ne kaha ke «Lamastum Wa Tamassuhunna Wallati Dakhaltum Bihinna» aur «Al-Ifza» sab ke maani aurat se humbistari karne ke hain .
Hadith Number: 4607
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في بعض اسفاره، حتى إذا كنا بالبيداء او بذات الجيش انقطع عقد لي، فاقام رسول الله صلى الله عليه وسلم على التماسه واقام الناس معه، وليسوا على ماء وليس معهم ماء، فاتى الناس إلى ابي بكر الصديق، فقالوا: الا ترى ما صنعت عائشة؟ اقامت برسول الله صلى الله عليه وسلم وبالناس، وليسوا على ماء وليس معهم ماء، فجاء ابو بكر ورسول الله صلى الله عليه وسلم واضع راسه على فخذي قد نام، فقال: حبست رسول الله صلى الله عليه وسلم والناس وليسوا على ماء وليس معهم ماء، قالت عائشة: فعاتبني ابو بكر، وقال: ما شاء الله ان يقول، وجعل يطعنني بيده في خاصرتي، ولا يمنعني من التحرك إلا مكان رسول الله صلى الله عليه وسلم على فخذي، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى اصبح على غير ماء، فانزل الله آية التيمم فتيمموا سورة المائدة آية 6، فقال اسيد بن حضير: ما هي باول بركتكم يا آل ابي بكر، قالت: فبعثنا البعير الذي كنت عليه، فإذا العقد تحته".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya , unhone kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , un se Abdur Rahman bin Qasim ne bayan kiya , un se un ke walid Qasim bin Muhammad ne bayan kiya aur un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja mutahira Aisha rz ne bayan kiya ke ek safar mein hum Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sath rawana hue . Jab hum Maqam-e-Baida ya Zat-ul-Jaish tak pounche to mera haar gum ho gaya . Is liye Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne usay talash karwane ke liye wahin qayam kiya aur Sahaba rz ne bhi aap صلی اللہ علیہ وسلم ke sath qayam kiya . Wahan kahin pani nahi tha aur Sahaba rz ke sath bhi pani nahi tha . Log Abu Bakr Siddiq rz ke paas aaye aur kehne lage , mulahiza nahi farmate , Aisha rz ne kya kar rakha hai aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko yehein thehra liya aur humein bhi , halanke yahan kahin pani nahi hai aur na kisi ke paas pani hai . Abu Bakr rz (mere yahan) aaye . Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم sar mubarak meri ran par rakh kar so gaye thay aur kehne lage tum ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko aur sab ko rok liya , halanke yahan kahin pani nahi hai aur na kisi ke sath pani hai . Aisha rz ne bayan kiya ke Abu Bakr Siddiq rz mujh par bohat khafa hue aur jo Allah ko manzoor tha mujhe kaha , suna aur hath se meri kokh mein kachoke lagaye . Main ne sirf is khayal se koi harkat nahi ki ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم meri ran par apna sar rakhe hue thay . Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم uthe aur subah tak kahin pani ka naam-o-nishan nahi tha , phir Allah Ta'ala ne tayammum ki ayat utari to Usaid bin Huzair ne kaha ke Aal-e-Abi Bakr! Yeh tumhari koi pehli barkat nahi hai . Bayan kiya ke phir hum ne woh ount uthaya jis par main sawar thi to haar usi ke neeche mil gaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4608
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني عمرو، ان عبد الرحمن بن القاسم حدثه، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:" سقطت قلادة لي بالبيداء، ونحن داخلون المدينة، فاناخ النبي صلى الله عليه وسلم ونزل، فثنى راسه في حجري راقدا، اقبل ابو بكر، فلكزني لكزة شديدة، وقال: حبست الناس في قلادة، فبي الموت لمكان رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد اوجعني، ثم إن النبي صلى الله عليه وسلم استيقظ، وحضرت الصبح، فالتمس الماء فلم يوجد، فنزلت: يايها الذين آمنوا إذا قمتم إلى الصلاة سورة المائدة آية 6 الآية، فقال اسيد بن حضير: لقد بارك الله للناس فيكم يا آل ابي بكر، ما انتم إلا بركة لهم.
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujhe Amr bin al-Harith ne khabar di , un se Abdur Rahman bin Qasim ne byaan kiya , un se un ke walid Qasim ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke mera haar Maqam e Bayda mein gum ho gaya tha . Hum Madinah wapas aa rahe thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wahin apni sawari rok di aur utar gaye , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sar mubarak meri god mein rakh kar so rahe thay ke Abu Bakr razi Allahu anhu andar aa gaye aur mere seene par zor se hath maar kar farmaya ke ek haar ke liye tum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko rok liya lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke aaram ke khayal se main be-hiss o harakat baithi rahi haalan ke mujhe takleef hui thi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bedar huay aur subah ka waqt hua aur pani ki talash hui lekin kahin pani ka naam o nishan na tha . Isi waqt yeh aayat utri «ya ayyuhallazhina aamanu izha qumtum ilassalati» al-kh . Usayd bin Huzayr razi Allahu anhu ne kaha: Ae Aal e Abi Bakr! Tumhein Allah Ta'ala ne logon ke liye bais e barkat banaya hai . Yaqeenan tum logon ke liye bais e barkat ho . Tumhara haar gum hua Allah ne is ki wajah se tayammum ki aayat nazil farma di jo qayamat tak Musalmanon ke liye aasani aur barkat hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة