الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ أَزْوَاجُكُمْ}:
Chapter. Allah’s Statement“In that which your wives leave, your share is a half...”(V.4:12)
Show diacritics
Hadith Number: 4578
حدثنا محمد بن يوسف، عن ورقاء، عن ابن ابي نجيح، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان المال للولد، وكانت الوصية للوالدين، فنسخ الله من ذلك ما احب، فجعل للذكر مثل حظ الانثيين، وجعل للابوين لكل واحد منهما السدس والثلث، وجعل للمراة الثمن والربع، وللزوج الشطر والربع".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , un se Warqa bin Amr Yashkuri ne , un se Ibn Abi Najih ne , un se Ata ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke ibtida e Islam mein mayyit ka saara maal aulad ko milta tha , albatta walidain ko woh milta jo mayyit un ke liye wasiyat kar jaye , phir Allah Ta'ala ne jaisa munasib samjha is mein naskh kar diya . Chunanche ab mard ka hissa do auraton ke hisse ke barabar hai aur mayyit ke walidain yani in donon mein har ek ke liye is maal ka chhata hissa hai . Basharte ke mayyit ke koi aulad ho , lekin agar is ke koi aulad na ho , balkay is ke walidain hi is ke waris hon to is ki maan ka ek tihayi hissa ho ga aur biwi ka aathwan hissa ho ga , jabke aulad ho , lekin agar aulad na ho to chauthayi ho ga aur shohar ka aadha hissa ho ga , jabke aulad na ho lekin agar aulad ho to chauthayi ho ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain