الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {لاَ يَحْسِبَنَّ الَّذِينَ يَفْرَحُونَ بِمَا أَتَوْا}:
CHAPTER“Think not that those who rejoice in what they have done (or brought about)...”(V.3:188)
Show diacritics
Hadith Number: 4567
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: حدثني زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه:" رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى الغزو، تخلفوا عنه، وفرحوا بمقعدهم خلاف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فإذا قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم اعتذروا إليه، وحلفوا، واحبوا ان يحمدوا بما لم يفعلوا، فنزلت لا تحسبن الذين يفرحون بما اتوا ويحبون ان يحمدوا بما لم يفعلوا سورة آل عمران آية 188 الآية".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Zayd bin Aslam ne byaan kiya , un se Ata bin Yasar aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein chand munafiqeen aise thay ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jihad ke liye tashreef le jate to yeh Madinah mein peeche reh jate aur peeche reh jaane par bahut khush hua karte thay lekin jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas aate to uzr byaan karte aur qasmein kha lete balkay un ko aise kaam par tareef hona pasand aata jis ko unhon ne na kiya hota aur baad mein chakni cheeri baaton se apni baat banana chahte . Allah Ta'ala ne isi par yeh aayat «la yahsabannallazhina yafrahoona» aakhir aayat tak utari .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4568
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، عن ابن ابي مليكة، ان علقمة بن وقاص اخبره، ان مروان، قال لبوابه:" اذهب يا رافع إلى ابن عباس فقل: لئن كان كل امرئ فرح بما اوتي، واحب ان يحمد بما لم يفعل معذبا، لنعذبن اجمعون، فقال ابن عباس:" وما لكم ولهذه، إنما دعا النبي صلى الله عليه وسلم يهود فسالهم عن شيء فكتموه إياه، واخبروه بغيره، فاروه ان قد استحمدوا إليه بما اخبروه عنه فيما سالهم، وفرحوا بما اوتوا من كتمانهم"، ثم قرا ابن عباس: وإذ اخذ الله ميثاق الذين اوتوا الكتاب كذلك حتى قوله:: يفرحون بما اتوا ويحبون ان يحمدوا بما لم يفعلوا سورة آل عمران آية 187 - 188. تابعه عبد الرزاق، عن ابن جريج. ح حدثنا ابن مقاتل، اخبرنا الحجاج، عن ابن جريج، اخبرني ابن ابي مليكة، عن حميد بن عبد الرحمن بن عوف، انه اخبره ان مروان بهذا.
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , unhein Ibn Abi Mulaykah ne aur unhein Alqamah bin Waqqas ne khabar di ke Marwan bin Hakam ne (jab woh Madinah ke ameer thay) apne darban se kaha ke Rafi! Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke yahan jao aur un se poocho ke aayat «la yahsabannallazhina yafrahoona» ki roo se to hum sab ko azab hona chahiye kyunke har ek aadmi in ni'maton par jo us ko mili hain , khush hai aur yeh chahta hai ke jo kaam us ne kiya nahi is par bhi is ki tareef ho . Abu Rafi ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ja kar poocha , to Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha , tum Musalmanon se is aayat ka kya talluq! Yeh to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Yahudiyon ko bulaya tha aur un se ek deen ki baat poochi thi . (jo un ki aasmani kitab mein maujood thi) unhon ne asal baat ko to chhupaya aur doosri ghalat baat byaan kar di , phir bhi is baat ke khwahish-mand rahe ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sawal ke jawab mein jo kuch unhon ne bataya hai is par un ki tareef ki jaye aur idhar asal haqiqat ko chhupa kar bhi bare khush thay . Phir Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne is aayat ki tilawat «wa izh akhazhallahu meesaqallazhina ootul kitaba» ki ”aur woh waqt yaad karo jab Allah ne Ahl e Kitab se ahad liya tha ke kitab ko poori zahir kar dena logon par , aayat «yafrahoona bima aataw wa yuhibboona an yuhmadoo bima lam yafaloo» ”jo log apne kartooton par khush hain aur chahte hain ke jo kaam nahi kiye hain , un par bhi un ki tareef ki jaye .“ Tak . Hisham bin Yusuf ke saath is hadees ko Abdur Razzaq ne bhi Ibn Jurayj se riwayat kiya . Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Hajjaj bin Muhammad ne khabar di , unhon ne Ibn Jurayj se kaha mujh ko Ibn Abi Mulaykah ne khabar di , un ko Humayd bin Abdur Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne ke Marwan ne apne darban Rafi se kaha , phir yahi hadees byaan ki .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain