الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَهُوَ أَلَدُّ الْخِصَامِ}:
Chapter.“...Yet he is the most quarrelsome of the opponents.”(V.2:204)
Show diacritics
Hadith Number: Q4523
وقال عطاء: النسل الحيوان.
Ata ne kaha ke Allah Ta'ala ke irshad «wa yuhlikal harsa wan-nasla» mein «nasl» se murad janwar hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4523
حدثنا قبيصة , حدثنا سفيان , عن ابن جريج , عن ابن ابي مليكة , عن عائشة ترفعه , قال: ابغض الرجال إلى الله الالد الخصم , وقال عبد الله , حدثنا سفيان , حدثني ابن جريج , عن ابن ابي مليكة , عن عائشة رضي الله عنها , عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha un se Ibn Jurayj ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Allah Ta'ala ke nazdeek sab se zyada napasandida shakhs woh hai jo sakht jhagralu ho aur Abdullah (Abdullah bin Waleed Adani) ne byaan kiya ke hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha mujh se Ibn Jurayj ne byaan kiya , un se Ibn Abi Mulaykah ne , un se Aisha razi Allahu anha ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (wahi hadees jo oopar guzri) .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain