الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: Q4477
قال مجاهد: إلى شياطينهم: اصحابهم من المنافقين والمشركين، محيط بالكافرين، الله جامعهم على الخاشعين على المؤمنين حقا، قال مجاهد: بقوة يعمل بما فيه، وقال ابو العالية: مرض شك وما خلفها عبرة لمن بقي لا شية لا بياض، وقال غيره: يسومونكم يولونكم الولاية مفتوحة مصدر الولاء وهي الربوبية إذا كسرت الواو فهي الإمارة، وقال بعضهم: الحبوب التي تؤكل كلها فوم، وقال قتادة: فباءوا فانقلبوا، وقال غيره: يستفتحون يستنصرون شروا باعوا راعنا من الرعونة إذا ارادوا ان يحمقوا إنسانا، قالوا راعنا لا يجزي لا يغني خطوات من الخطو والمعنى آثاره ابتلى اختبر.
Mujahid ne kaha «ila shayateenihim» se un ke dost munafiq aur mushrik murad hain . «muheetum bil kafireen» ke maani Allah kafiron ko ik इकट्ठा karne wala hai . «alal khashieen» mein «khashieen» se murad pakke imandar hain . «bi-quwwatin» yani is par amal kar ke quwwat se yahi murad hai . Abu al-Aaliyah ne kaha «maradun» se «shakk» murad hai . «sibghatun» se deen murad hai . «wa ma khalfaha» yani pichhle logon ke liye ibrat jo baqi rahi . «wa ma khalfaha» ka maani is mein safaidi nahi aur Abu al-Aaliyah ke siwa ne kaha «yasumoonakum» ka maani tum par uthate thay ya tum ko hamesha takleef pahunchate thay . Aur (Surah al-Kahf mein) «al-wilayatu» ba-fatah wao hai jis ke maani «rububiyyatun» yani khudayi ke hain . Aur «al-wilayatu» ba-kasr wao is ke maani sardari ke hain . Baaz logon ne kaha jin jin anaajon ko log khate hain un ko «foum» kehte hain . Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne is ko soum parha hai yani lehsun ke maani mein liya hai . «faddara'tum» ka maani tum ne aapas mein jhagray kiya . Qatadah ne kaha «fabaa'u» yani laut gaye aur Qatadah ke siwa doosre shakhs (Abu Ubaydah) ne kaha «yastaftihoon» ka maani madad maangte thay . «sharaw» ke maani baycha . Lafz «raina» «raoonatun» se nikla hai . Arab log jab kisi ko ahmaq banate to is ko lafz «raina» se pukarte . «la yajzhi» kuch kaam na aaye gi . «ibtala» ke maani aazmaya jaancha . «khutuwatun» lafz «khutwa» bamaani qadam ki jama hai .