الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ: {وَعَلَّمَ آدَمَ الأَسْمَاءَ كُلَّهَا}:
Chapter. The Statement of Allah:“And He taught Adam all the names (of everything)...”(V.2:31)
Hadith Number: 4476
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام , حدثنا قتادة , عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وقال لي خليفة ,حدثنا يزيد بن زريع , حدثنا سعيد , عن قتادة , عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: يجتمع المؤمنون يوم القيامة، فيقولون: لو استشفعنا إلى ربنا فياتون آدم فيقولون: انت ابو الناس خلقك الله بيده واسجد لك ملائكته، وعلمك اسماء كل شيء، فاشفع لنا عند ربك حتى يريحنا من مكاننا هذا، فيقول: لست هناكم ويذكر ذنبه، فيستحي ائتوا نوحا، فإنه اول رسول بعثه الله إلى اهل الارض، فياتونه، فيقول: لست هناكم ويذكر سؤاله ربه ما ليس له به علم فيستحي، فيقول: ائتوا خليل الرحمن، فياتونه، فيقول: لست هناكم ائتوا موسى عبدا كلمه الله، واعطاه التوراة، فياتونه، فيقول: لست هناكم، ويذكر قتل النفس بغير نفس فيستحي من ربه، فيقول: ائتوا عيسى عبد الله ورسوله، وكلمة الله وروحه، فيقول: لست هناكم ائتوا محمدا صلى الله عليه وسلم عبدا غفر الله له ما تقدم من ذنبه وما تاخر، فياتوني، فانطلق حتى استاذن على ربي، فيؤذن لي، فإذا رايت ربي وقعت ساجدا، فيدعني ما شاء الله، ثم يقال: ارفع راسك وسل تعطه، وقل يسمع، واشفع تشفع، فارفع راسي فاحمده بتحميد يعلمنيه، ثم اشفع فيحد لي حدا، فادخلهم الجنة، ثم اعود إليه فإذا رايت ربي مثله، ثم اشفع فيحد لي حدا، فادخلهم الجنة، ثم اعود الرابعة، فاقول: ما بقي في النار إلا من حبسه القرآن ووجب عليه الخلود، قال ابو عبد الله: إلا من حبسه القرآن يعني قول الله تعالى خالدين فيها سورة البقرة آية 162.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hisham Dastwayi ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se (doosri sanad) aur mujh se Khaleefa bin Khayyat ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Saeed ne byaan kiya , in se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Momineen Qayamat ke din pareshan ho kar jama hon ge aur (aapas mein) kahein ge , behtar yeh tha ke apne Rabb ke huzoor mein aaj kisi ko hum apna sifarshi banate . Chunanche sab log Adam alaihissalam ki khidmat mein hazir hon ge aur arz karein ge ke Aap insanon ke baap hain . Allah Ta'ala ne Aap ko apne hath se banaya . Aap ke liye farishton ko sajda ka hukm diya aur Aap ko har cheez ke naam sikhaye . Aap hamare liye apne Rabb ke huzoor mein sifarish kar dein taake aaj ki museebat se hamain najat mile . Adam alaihissalam kahein ge , main is ke laiyq nahi hoon , woh apni laghzish ko yaad karein ge aur un ko Parvardigar ke huzoor mein jaane se sharam aaye gi . Kahein ge ke tum log Nuh alaihissalam ke paas jao . Woh sab se pehle Nabi hain jinhein Allah Ta'ala ne (mere baad) zameen walon ki taraf maboos kiya tha . Sab log Nuh alaihissalam ki khidmat mein hazir hon ge . Woh bhi kahein ge ke main is qabil nahi aur woh apne Rabb se apne sawal ko yaad karein ge jis ke mutalliq unhein koi ilm nahi tha . Un ko bhi sharam aaye gi aur kahein ge ke Allah ke Khaleel alaihissalam ke paas jao . Log un ki khidmat mein hazir hon ge lekin woh bhi yahi kahein ge ke main is qabil nahi , Musa alaihissalam ke paas jao , un se Allah Ta'ala ne kalam farmaya tha aur Taurat di thi . Log un ke paas aayein ge lekin woh bhi uzr kar dein ge ke mujh mein is ki jurat nahi . Un ko baghair kisi haq ke ek shakhs ko qatl karna yaad aa jaye ga aur apne Rabb ke huzoor mein jate huay sharam daman-geer ho gi . Kahein ge tum Esa alaihissalam ke paas jao , woh Allah ke bande aur us ke Rasool , is ka kalma aur is ki rooh hain lekin Esa alaihissalam bhi yahi kahein ge ke mujh mein is ki himmat nahi , tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke paas jao , woh Allah ke maqbool bande hain aur Allah ne un ke tamam agle aur pichhle gunah maaf kar diye hain . Chunanche log mere paas aayein ge , main un ke saath jaon ga aur apne Rabb se ijazat chahoon ga . Mujhe ijazat mil jaye gi , phir main apne Rabb ko dekhte hi sajda mein gir parroon ga aur jab tak Allah chahe ga main sajda mein rahoon ga , phir mujh se kaha jaye ga ke apna sar uthao aur jo chaho maango , tumhein diya jaye ga , jo chaho kaho tumhari baat suni jaye gi . Shafaat karo , tumhari shafaat qabool ki jaye gi . Main apna sar uthaoon ga aur Allah ki woh hamd byaan karoon ga jo mujhe is ki taraf se sikhayi gayi ho gi . Is ke baad shafaat karoon ga aur mere liye ek had muqarrar kar di jaye gi . Main unhein jannat mein dakhil karaoon ga chauthi martaba jab main wapas aaoon ga to arz karoon ga ke jahannum mein in logon ke siwa aur koi ab baqi nahi raha jinhein Quran ne hamesha ke liye jahannum mein rehna zaroori qarar de diya hai . Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Quran ki roo se dozakh mein qaid rehne se murad woh log hain jin ke liye «khalideena feeha» kaha gaya hai . Ke woh hamesha dozakh mein rahein ge .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة