الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَنَاقِبِ الْأَنْصَارِ
The Merits of Al-Ansar
بَابُ الْقَسَامَةُ فِي الْجَاهِلِيَّةِ:
Chapter. AI-Qasama in the Pre-Islamic Period of Ignorance.
Hadith Number: 3847
وقال ابن وهب: اخبرنا عمرو , عن بكير بن الاشج , ان كريبا مولى ابن عباس حدثه , ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ليس السعي ببطن الوادي بين الصفا , والمروة سنة إنما كان اهل الجاهلية يسعونها، ويقولون: لا نجيز البطحاء إلا شدا".
Aur Abdullah Bin Wahab ne bayan kiya, unhein Amr ne khabar di, unhein Bukair Bin Ashaj ne aur Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ke Maula Kuraib ne un se bayan kiya ke Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bataya Safa aur Marwah ke darmiyan naale ke andar zor se daurna sunnat nahi hai yahan jahiliyat ke daur mein log tezi ke sath daura karte thay aur kehte thay ke hum to is pathreeli jagah se daur hi kar paar hon ge
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3848
حدثنا عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا سفيان، اخبرنا مطرف، سمعت ابا السفر، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: يا ايها الناس اسمعوا مني ما اقول لكم واسمعوني ما تقولون، ولا تذهبوا فتقولوا , قال ابن عباس , قال ابن عباس:" من طاف بالبيت فليطف من وراء الحجر، ولا تقولوا الحطيم فإن الرجل في الجاهلية كان يحلف فيلقي سوطه او نعله او قوسه".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Jafi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Mutarrif ne khabar di, kaha mein ne Abu-al-Safar se suna, wo bayan karte thay ke mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma se suna unhon ne kaha: Ay logo! Meri batein suno ke mein tum se bayan karta hoon aur (jo kuch tum ne samjha hai) wo mujhe sunao. Aisa na ho ke tum log yahan se uth kar (baghair samjhe) chale jao aur phir kehne lago ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne yun kaha aur Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne yun kaha. Jo shakhs bhi Baitullah ka tawaf kare to wo Hateem ke peeche se tawaf kare aur Hijr ko Hateem na kaha karo ye jahiliyat ka naam hai is waqt logon mein jab koi kisi baat ki qasam khata to apna kora, joota ya kaman wahan phenk deta
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3849
حدثنا نعيم بن حماد، حدثنا هشيم، عن حصين، عن عمرو بن ميمون، قال:" رايت في الجاهلية قردة اجتمع عليها قردة قد زنت فرجموها فرجمتها معهم".
Hum se Nuaim Bin Hammad ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Husain ne, un se Amr Bin Maimoon ne bayan kiya ke mein ne zamana-e-jahiliyat mein ek bandariya dekhi is ke charon taraf bahut se bandar jama ho gaye thay is bandariya ne zina karaya tha is liye sabhon ne mil kar ise rajm kiya aur in ke sath mein bhi patthar marne mein shareek hua
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3850
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عبيد الله، سمع ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" خلال من خلال الجاهلية: الطعن في الانساب , والنياحة , ونسي الثالثة"، قال سفيان:" ويقولون إنها الاستسقاء بالانواء".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne aur unhon ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma se suna, unhon ne kaha ke jahiliyat ki aadaton mein se ye aadatein hain. Nasab ke mamla mein tana maarna, mayyat par noha karna, teesri aadat ke mutaliq (Ubaidullah rawi) bhool gaye thay aur Sufyan ne bayan kiya ke log kehte hain ke wo teesri baat sitaron ko barish ki illat samajhna hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة