الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَنَاقِبِ
The Book of Virtues
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 3508
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، عن الحسين، عن عبد الله بن بريدة، قال: حدثني يحيى بن يعمر، ان ابا الاسود الديلي حدثه، عن ابي ذر رضي الله عنه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" ليس من رجل ادعى لغير ابيه وهو يعلمه إلا كفر ومن ادعى قوما ليس له فيهم فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Abu Maamar ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, un se Husain Bin Waqid ne, un se Abdullah Bin Buraidah ne bayan kiya, kaha mujh se Yahya Bin Yamar ne bayan kiya, un se Abu Al-Aswad Deeli ne bayan kiya aur un se Abu Zar (Radi Allahu Anhu) ne ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay "Jis shakhs ne bhi jaan boojh kar apne baap ke siwa kisi aur ko apna baap banaya to is ne kufr kiya aur jis shakhs ne bhi apna nasab kisi aisi qoum se milaya jis se is ka koi (nasabi) talluq nahi hai to wo apna thikana jahannam mein bana le
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3509
حدثنا علي بن عياش، حدثنا حريز، قال: حدثني عبد الواحد بن عبد الله النصري، قال: سمعت واثلة بن الاسقع، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من اعظم الفرى ان يدعي الرجل إلى غير ابيه او يري عينه ما لم تر او، يقول: على رسول الله صلى الله عليه وسلم ما لم يقل".
Hum se Ali Bin Ayash ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdul Wahid Bin Abdullah Nasri ne bayan kiya, kaha ke mein ne Wasilah Bin Asqa (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Sab se bara bohtan aur sakht jhoot ye hai ke aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna baap kahe ya jo cheez is ne khwab mein nahi dekhi. Is ke dekhne ka dawa kare. Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taraf aaisi hadees mansoob kare jo aap ne na farmayi ho
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3510
حدثنا مسدد، حدثنا حماد، عن ابي جمرة قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: قدم وفد عبد القيس على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: يا رسول الله، إنا من هذا الحي من ربيعة قد حالت بيننا وبينك كفار مضر فلسنا نخلص إليك إلا في كل شهر حرام فلو امرتنا بامر ناخذه عنك ونبلغه من وراءنا، قال: آمركم باربع وانهاكم عن اربع الإيمان بالله شهادة ان لا إله إلا الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، وان تؤدوا إلى الله خمس ما غنمتم وانهاكم عن الدباء، والحنتم، والنقير، والمزفت".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Hammad ne bayan kiya, un se Abu Jamrah ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna wo kehte thay ke qabila Abdul Qais ka wafd Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaya aur is ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Hamara talluq qabila Rabee-ah se hai aur hamare aur aap ke darmiyan (raste mein) kuffar-e-Muzar ka qabila parta hai, is liye hum aap ki khidmat-e-aqdas mein sirf hurmat ke mahinon mein hi hazir ho sakte hain. Munasib hota agar aap humein aise ahkam batla dete jin par hum khud bhi mazbooti se qaim rehte aur jo log hamare peeche reh gaye hain unhein bhi bata dete. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein tumhein chaar cheezon ka hukam deta hoon aur chaar cheezon se rokta hoon, awwal Allah par iman lane ka, yani is ki gawahi dena ke Allah Ta'ala ke siwa aur koi mabood nahi aur namaz qaim karne ka aur zakat ada karne ka aur is baat ka ke jo kuch bhi tumhein maal-e-ghanimat mile is mein se panchwan hissa Allah ko (yani Imam-e-waqt ke Bait-ul-Maal ko) ada karo aur mein tumhein dubba, hantam, naqeer aur muzaffat (ke istemal) se mana karta hoon
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3511
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" وهو على المنبر الا إن الفتنة ها هنا يشير إلى المشرق من حيث يطلع قرن الشيطان".
Hum se Abu Al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, un se Salim Bin Abdullah ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) minbar par farma rahe thay "Aagah ho jao is taraf se fasad phoute ga." Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mashriq ki taraf ishara kar ke ye jumla farmaya, jidhar se Shaitan ka seeng tulu hota hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain