الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابُ: {أَمْ كُنْتُمْ شُهَدَاءَ إِذْ حَضَرَ يَعْقُوبَ الْمَوْتُ} إِلَى قَوْلِهِ: {وَنَحْنُ لَهُ مُسْلِمُونَ}:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 3374
حدثنا إسحاق بن إبراهيم سمع المعتمر، عن عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قيل للنبي صلى الله عليه وسلم" من اكرم الناس، قال: اكرمهم اتقاهم، قالوا: يا نبي الله ليس عن هذا نسالك، قال: فاكرم الناس يوسف نبي الله ابن نبي الله ابن نبي الله ابن خليل الله، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فعن معادن العرب تسالوني، قالوا: نعم، قال: فخياركم في الجاهلية خياركم في الإسلام إذا فقهوا".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya kaha ke hum ne Mu'tamir Bin Sulaiman se suna unhon ne Abdullah Umri se unhon ne Said Bin Abi Said Maqbari se aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha gaya: Sab se zyada shareef kaun hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo sab se zyada muttaqi ho wo sab se zyada shareef hai. Sahaba ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Hamare sawal ka maqsad ye nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir sab se zyada shareef Yusuf nabi-ullah Bin nabi-ullah (Yaqub) Bin nabi-ullah (Ishaq) Bin khaleel-ullah (Ibrahim Alaihis Salam) thay." Sahaba ne arz kiya: Hamare sawal ka maqsad ye bhi nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kya tum log Arab ke shurafa ke bare mein poochna chahte ho?" Sahaba ne arz kiya ke ji haan. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir jahiliyat mein jo log shareef aur acche aadat-o-akhlaq ke thay wo Islam lane ke baad bhi shareef aur acche samjhe jayeinge jab ke wo deen ki samajh bhi hasil karein."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain