الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْغُسْل
The Book of Ghusl (Washing of the Whole Body)
بَابُ مَنْ تَوَضَّأَ فِي الْجَنَابَةِ ثُمَّ غَسَلَ سَائِرَ جَسَدِهِ، وَلَمْ يُعِدْ، غَسْلَ مَوَاضِعِ الْوُضُوءِ مَرَّةً أُخْرَى:
Chapter. Whoever performed the ablution of Janaba and then washed his body but did not wash once again the parts which were washed in ablution.
Show diacritics
Hadith Number: 274
حدثنا يوسف بن عيسى، قال: اخبرنا الفضل بن موسى، قال: اخبرنا الاعمش، عن سالم، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، عن ميمونة، قالت:" وضع رسول الله صلى الله عليه وسلم وضوءا لجنابة فاكفا بيمينه على شماله مرتين او ثلاثا، ثم غسل فرجه، ثم ضرب يده بالارض او الحائط مرتين او ثلاثا، ثم مضمض واستنشق وغسل وجهه وذراعيه، ثم افاض على راسه الماء، ثم غسل جسده، ثم تنحى فغسل رجليه، قالت: فاتيته بخرقة فلم يردها، فجعل ينفض بيده".
Hum se Yousuf bin Esa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fazl bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne bayan kiya unhon ne Salim ke waaste se, unhon ne Kuraib Maula Ibn-e-Abbas se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se bayan kiya, unhon ne Umm-ul-Mo’mineen Maimunah Radhiallahu Anha se riwayat kiya, unhon ne farmaaya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ghusl-e-janabat ke liye paani rakha phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle do ya teen martaba apne daayen haath se baayein haath par paani daala. Phir sharmgaah dhoyi. Phir haath ko zameen par ya deewaar par do ya teen baar ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur apne chehre aur baazuon ko dhoya. Phir sar par paani bahaaya aur saare badan ka ghusl kiya. Phir apni jagah se sarak kar paaon dhoye. Maimunah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main ek kapda laayi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne use nahi liya aur haathon hi se paani jhaadne lage.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain