الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ ذَبْحِ الإِبِلِ وَالْغَنَمِ فِي الْمَغَانِمِ:
Chapter. What is hated regarding the slaughtering of the camels and sheep of the booty (before its distribution).
Show diacritics
Hadith Number: 3075
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة، عن جده رافع، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بذي الحليفة فاصاب الناس جوع واصبنا إبلا وغنما، وكان النبي صلى الله عليه وسلم في اخريات الناس" فعجلوا فنصبوا القدور، فامر بالقدور فاكفئت ثم قسم فعدل عشرة من الغنم ببعير فند منها بعير وفي القوم خيل يسير فطلبوه، فاعياهم، فاهوى إليه رجل بسهم، فحبسه الله، فقال: هذه البهائم لها اوابد كاوابد الوحش فما ند عليكم فاصنعوا به هكذا، فقال جدي: إنا نرجو او نخاف ان نلقى العدو غدا وليس معنا مدى افنذبح بالقصب، فقال: ما انهر الدم وذكر اسم الله عليه فكل ليس السن والظفر وساحدثكم عن ذلك اما السن فعظم، واما الظفر فمدى الحبشة".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana Waddah Shukri ne bayan kiya, un se Said Bin Masrooq ne, un se Abaya Bin Rifaa ne aur un se un ke dada Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke maqam Zul Hulaifa mein hum ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath padao kiya. Log bhooke thay. Idhar ghaneemat mein humein ont aur bakriyan mili theen. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) lashkar ke pichhle hisse mein thay. Logon ne (bhook ke mare) jaldi ki handiyan chadha deen. Baad mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hukm se un handiyon ko ondha diya gaya phir aap ne ghaneemat ki taqseem shuru ki das bakriyon ko ek ont ke barabar rakha ittefaq se mal-e-ghaneemat ka ek ont bhag nikla. Lashkar mein ghodon ki kami thi. Log ise pakadne ke liye daude lekin ont ne sab ko thaka diya. Aakhir ek Sahabi (khud Rafi Radi Allahu Anhu) ne ise teer mara. Allah Ta'ala ke hukm se ont jahan tha wahin reh gaya. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke in (paltu) janwaron mein bhi jungli janwaron ki tarah baaz dafa wahshat ho jati hai. Is liye agar in mein se koi qabu mein na aaye to is ke sath aisa hi karo. Abaya kehte hain ke mere dada (Rafi Radi Allahu Anhu) ne khidmat-e-Nabwi mein arz kiya, ke humein umeed hai ya (ye kaha ke) khauf hai ke kal kahin hamari dushman se mud-bher na ho jaye. Idhar hamare paas chhuri nahi hai. To kya hum bans ki khapchiyon se zibah kar sakte hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo cheez khoon baha de aur zibah karte waqt is par Allah Ta'ala ka naam bhi liya gaya ho, to is ka gosht khana halal hai. Albatta wo cheez (jis se zibah kiya gaya ho) daant aur nakhun na hona chahiye. Tumhare samne mein is ki wajah bhi bayan karta hoon daant to is liye nahi ke wo haddi hai aur nakhun is liye nahi ke wo Habshiyon ki chhuri hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain