الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْكَذِبِ فِي الْحَرْبِ:
Chapter. Telling lies in war.
Hadith Number: 3031
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من لكعب بن الاشرف فإنه قد آذى الله ورسوله، قال: محمد بن مسلمة اتحب ان اقتله يا رسول الله، قال: نعم، قال: فاتاه، فقال: إن هذا يعني النبي صلى الله عليه وسلم قد عنانا وسالنا الصدقة، قال: وايضا والله لتملنه، قال: فإنا قد اتبعناه فنكره ان ندعه حتى ننظر إلى ما يصير امره، قال: فلم يزل يكلمه حتى استمكن منه فقتله".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne ‘ in se Amr Bin Dinar ne aur in se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kaab Bin Ashraf ka kaam kaun tamam kare ga? Wo Allah aur us ke Rasul ko bahut aziyatein pahuncha chuka hai." Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya: ya Rasul Allah! Kya Aap mujhe ijazat bakhsh dein ge ke mein ise qatl kar aaun? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Haan." Rawi ne bayan kiya ke phir Muhammad Bin Muslima Kaab yahudi ke paas aaye aur us se kehne lage ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne to humein thaka diya ‘ aur hum se Aap zakat mangte hain. Kaab ne kaha ke qasam Allah ki! Abhi kya hai abhi aur museebat mein paro ge. Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) is par kehne lage ke baat ye hai ke hum ne in ki pairwi kar li hai. Is liye is waqt tak is ka sath chorna hum munasib bhi nahi samajhte jab tak in ki dawat ka koi anjam hamare samne na aa jaye. Gharaz Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) is se isi tarah batein karte rahe. Aakhir mauqa pa kar ise qatl kar diya
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة