الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْغُسْل
The Book of Ghusl (Washing of the Whole Body)
بَابُ مَنْ أَفْرَغَ بِيَمِينِهِ عَلَى شِمَالِهِ فِي الْغُسْلِ:
Chapter. Pouring water with one’s right hand over the left one, during the bath.
Show diacritics
Hadith Number: 266
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، عن ميمونة بنت الحارث، قالت:" وضعت لرسول الله صلى الله عليه وسلم غسلا وسترته فصب على يده فغسلها مرة او مرتين، قال سليمان: لا ادري اذكر الثالثة ام لا، ثم افرغ بيمينه على شماله فغسل فرجه، ثم دلك يده بالارض او بالحائط، ثم تمضمض واستنشق وغسل وجهه ويديه وغسل راسه، ثم صب على جسده، ثم تنحى فغسل قدميه فناولته خرقة، فقال: بيده هكذا، ولم يردها".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu ’Awaanah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se bayan kiya, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ke Maula Kuraib se, unhon ne Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se, unhon ne Maimunah Bint-e-Haris Radhiallahu Anha se, unhon ne kaha ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye (ghusl ka) paani rakha aur pardah kar diya, Aap ne (pehle ghusl mein) apne haath par paani daala aur use ek ya do baar dhoya. Sulaiman Al-A’mash kehte hain ke mujhe yaad nahi rawi (Salim bin Abi-Ja’d) ne teesri baar ka bhi zikr kiya ya nahi. Phir daahne haath se baayein par paani daala. Aur sharmgaah dhoyi, phir apne haath ko zameen par ya deewaar par ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur chehre aur haathon ko dhoya. Aur sar ko dhoya. Phir saare badan par paani bahaaya. Phir ek taraf sarak kar dono paaon dhoye. Baad mein main ne ek kapda diya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath se ishaara kiya is tarah ke ise hataao aur Aap ne us kapde ka iradah nahi farmaaya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain