الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْجَاسُوسِ:
Chapter. The spy.
Show diacritics
Hadith Number: Q3007
التجسس: التبحث.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Al-Mumtahina mein) farmaya «la tthzw edwy wedwkm awlyae» "Musalmano! Mere aur apne dushmanon ko dost na banao." Lafz jasoos tajassus se nikla hai yani kisi baat ko khod kar nikalna
.


Show diacritics
Hadith Number: 3007
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار سمعته منه مرتين، قال: اخبرني حسن بن محمد، قال: اخبرني عبيد الله بن ابي رافع، قال: سمعت عليا رضي الله عنه، يقول: بعثني رسول الله صلى الله عليه وسلم انا والزبير والمقداد بن الاسود، قال:" انطلقوا حتى تاتوا روضة خاخ فإن بها ظعينة ومعها كتاب فخذوه منها فانطلقنا تعادى بنا خيلنا حتى انتهينا إلى الروضة، فإذا نحن بالظعينة، فقلنا: اخرجي الكتاب، فقالت: ما معي من كتاب، فقلنا: لتخرجن الكتاب او لنلقين الثياب فاخرجته من عقاصها، فاتينا به رسول الله صلى الله عليه وسلم فإذا فيه من حاطب بن ابي بلتعة إلى اناس من المشركين من اهل مكة يخبرهم ببعض امر رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يا حاطب ما هذا، قال: يا رسول الله لا تعجل علي إني كنت امرا ملصقا في قريش ولم اكن من انفسها وكان من معك من المهاجرين لهم قرابات بمكة يحمون بها اهليهم واموالهم، فاحببت إذ فاتني ذلك من النسب فيهم ان اتخذ عندهم يدا يحمون بها قرابتي وما فعلت كفرا، ولا ارتدادا، ولا رضا بالكفر بعد الإسلام، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: لقد صدقكم، قال عمر: يا رسول الله دعني اضرب عنق هذا المنافق، قال: إنه قد شهد بدرا وما يدريك لعل الله ان يكون قد اطلع على اهل بدر، فقال: اعملوا ما شئتم فقد غفرت لكم"، قال سفيان: واي إسناد هذا.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ‘ kaha hum se Amr Bin Dinar ne bayan kiya ‘ Sufyan ne ye hadees Amr Bin Dinar se do martaba suni thi. Unhon ne bayan kiya ke mujhe Hasan Bin Muhammad ne khabar di ‘ kaha ke mujhe Ubaidullah Bin Abi Rafi ne khabar di ‘ kaha ke mein ne Ali (Radi Allahu Anhu) se suna ‘ aap bayan karte thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe, Zubair aur Miqdad Bin Aswad (Radi Allahu Anhum) ko ek muhim par bheja aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jab tum log Rauda-e-Khakh (jo Madinah se barah mil ke fasle par ek jagah ka naam hai) par pahunch jao to wahan ek burhiya aurat tumhein oont par sawar mile gi aur us ke paas ek khat ho ga ‘ tum log us se wo khat le lena. Hum rawana hue aur hamare ghore humein tezi ke sath liye ja rahe thay. Aakhir hum Rauda-e-Khakh par pahunch gaye aur wahan waqayi ek boorhi aurat maujood thi jo oont par sawar thi. Hum ne us se kaha ke khat nikal. Us ne kaha ke mere paas to koi khat nahi. Lekin jab hum ne use dhamki di ke agar tu ne khat na nikala to tumhare kapre hum khud utaar dein ge. Is par us ne apni gandhi hui chhoti ke andar se khat nikal kar diya ‘ aur hum ise Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein le kar hazir hue ‘ is ka mazmoon ye tha ‘ Hatib Bin Abi Balta'a ki taraf se mushrikeen-e-Makkah ke chand aadmiyon ki taraf ‘ is mein unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke baaz bhedon ki khabar di thi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Ae Hatib! Ye kya waqea hai? Unhon ne arz kiya: ya Rasul Allah! Mere bare mein ajlat se kaam na lijaiye. Meri haisiyat (Makkah mein) ye thi ke Quraish ke sath mein ne rehna sehna ikhtiyar kar liya tha ‘ un se rishta nata mera kuch bhi na tha. Aap ke sath jo doosre muhajireen hain un ki to Makkah mein sab ki rishtedari hai aur Makkah wale isi wajah se un ke azeezon ki aur un ke maalon ki hifazat o himayat karein ge magar Makkah walon ke sath mera koi nasbi talluq nahi hai ‘ is liye mein ne socha ke un par koi ihsan kar doon jis se asar le kar wo mere bhi azeezon ki Makkah mein hifazat karein ge. Mein ne ye kaam kufr ya irtidad ki wajah se hargiz nahi kiya hai aur na Islam ke baad kufr se khush ho kar. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sun kar farmaya ke Hatib ne sach kaha hai. Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha: ya Rasul Allah! Ijazat dijaiye mein is munafiq ka sar ura doon ‘ Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Nahi ‘ ye Badr ki larayi mein (musalmanon ke sath mil kar) lare hain aur tumhein maloom nahi ‘ Allah Ta'ala mujahideen-e-Badr ke ahwal (maut tak ke) pehle hi se janta tha ‘ aur wo khud hi farma chuka hai ke tum jo chaho karo mein tumhein maaf kar chuka hoon." Sufyan Bin Uyainah ne kaha ke hadees ki ye sanad bhi kitni umdah hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain