الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ ظِلِّ الْمَلاَئِكَةِ عَلَى الشَّهِيدِ:
Chapter. The shade of angels on the martyr.
Show diacritics
Hadith Number: 2816
حدثنا صدقة بن الفضل، قال: اخبرنا ابن عيينة، قال: سمعت محمد بن المنكدر، انه سمع جابرا، يقول: جيء بابي إلى النبي صلى الله عليه وسلم وقد مثل به ووضع بين يديه، فذهبت اكشف عن وجهه فنهاني قومي، فسمع صوت صائحة، فقيل: ابنة عمرو او اخت عمرو، فقال:" لم تبكي او لا تبكي ما زالت الملائكة تظله باجنحتها، قلت: لصدقة افيه حتى رفع، قال: ربما قاله".
Hum se Sadaqah Bin Fazl ne bayan kiya, kaha ke humein Sufyan Bin Uyainah ne khabar di, kaha ke mein ne Muhammad Bin Munkadir se suna, unhon ne Jabir (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke mere walid Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne laye gaye (Uhud ke mauqe par) aur kafiron ne un ke naak kaan kaat dale thay, un ki naash Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne rakhi gayi to mein ne aage barh kar un ka chehra kholna chaha lekin meri qaum ke logon ne mujhe mana kar diya phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne rone peetne ki awaz suni (to daryaft farmaya ke kis ki awaz hai?) logon ne bataya ke Amr ki larki hain (shaheed ki behen) ya Amr ki behen hain (shaheed ki chachi shaq rawi ko tha) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya kyun ro rahi hain ya (Aap ne farmaya ke) royein nahi malaika barabar un par apne paron ka saya kiye hue hain. Imam Bukhari (Rahimahullah) kehte hain ke mein ne Sadaqah se poocha kya hadees mein ye bhi hai ke (janaza) uthaye jaane tak to unhon ne bataya ke Sufyan ne baaz auqat ye alfaz bhi hadees mein bayan kiye thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain