الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْهِبَةِ وَفَضْلِهَا وَالتَّحْرِيضِ عَلَيْهَا
The Book of Gifts and The Superiority of Giving Gifts and The Exhortation for Giving Gifts
بَابُ إِذَا وَهَبَ هِبَةً فَقَبَضَهَا الآخَرُ، وَلَمْ يَقُلْ قَبِلْتُ:
Chapter. When someone gives something (as a gift) to another person and the receiver takes it into his possession without saying, "I have accepted it."
Show diacritics
Hadith Number: 2600
حدثنا محمد بن محبوب، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" جاء رجل إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: هلكت، فقال: وما ذاك؟ قال: وقعت باهلي في رمضان، قال: تجد رقبة؟ قال: لا، قال: فهل تستطيع ان تصوم شهرين متتابعين؟ قال: لا، قال: فتستطيع ان تطعم ستين مسكينا؟ قال: لا، قال: فجاء رجل من الانصار بعرق، والعرق المكتل فيه تمر، فقال: اذهب بهذا فتصدق به، قال: على احوج منا يا رسول الله، والذي بعثك بالحق ما بين لابتيها اهل بيت احوج منا، قال: اذهب فاطعمه اهلك".
Hum se Muhammad Bin Mahboob ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid Bin Ziyada ne bayan kiya, kaha hum se Maamar ne bayan kiya Zuhri se, wo Humaid Bin Abdur Rahman se aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ek dehati Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaya aur kehne laga ke mein to halak ho gaya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya "Kya baat hui?" Arz kiya ke Ramazan mein mein ne apni biwi se hambistari kar li hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya "Tumhare paas koi ghalam hai?" Kaha ke nahi. Phir daryaft farmaya "Kya do mahine pay dar pay roze rakh sakte ho?" Kaha ke nahi. Phir daryaft farmaya "Kya sath miskinou ko khana de sakte ho?" Is par bhi jawab tha ke nahi. Bayan kiya ke itne mein ek Ansari araq laye. (Araq khajoor ke patton ka bana hua ek tokra hota tha jis mein khajoor rakkhi jati thi) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se farmaya "Ise le ja aur sadqa kar de" unhon ne arz kiya, Ya Rasul Allah! kya apne se zyada zaroorat mand par sadqa kar doon? Aur is zaat ki qasam! jis ne Aap ko haq ke sath bheja hai ke sare Madine mein hum se zyada mohtaj aur koi gharana nahi ho ga. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir ja, apne hi ghar walon ko khila de."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain