الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْهِبَةِ وَفَضْلِهَا وَالتَّحْرِيضِ عَلَيْهَا
The Book of Gifts and The Superiority of Giving Gifts and The Exhortation for Giving Gifts
بَابُ هِبَةِ الرَّجُلِ لاِمْرَأَتِهِ وَالْمَرْأَةِ لِزَوْجِهَا:
Chapter. Giving gifts by a husband to his wife, and by a wife to her husband.
Show diacritics
Hadith Number: Q2588
قال إبراهيم: جائزة، وقال عمر بن عبد العزيز: لا يرجعان، واستاذن النبي صلى الله عليه وسلم نساءه في ان يمرض في بيت عائشة، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: العائد في هبته كالكلب يعود في قيئه، وقال الزهري: فيمن قال لامراته هبي لي بعض صداقك او كله، ثم لم يمكث إلا يسيرا حتى طلقها فرجعت فيه، قال: يرد إليها إن كان خلبها وإن كانت اعطته عن طيب نفس ليس في شيء من امره خديعة جاز، قال الله تعالى: فإن طبن لكم عن شيء منه نفسا فكلوه سورة النساء آية 4.
Ibrahim Nakh'i ne kaha ke jaiz hai. Umar Bin Abdul Aziz ne kaha ke donon apna hiba wapas nahi le sakte. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne marz ke din Aisha (Radi Allahu Anha) ke ghar guzarne ki apni doosri biwiyon se ijazat mangi thi (aur azwaj-e-mutahiraat ne apni apni bari hiba kar di thi) aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke apna hiba wapas lene wala shaks is kutte ki tarah hai jo apni hi qai chat-ta hai. Zuhri ne is shaks ke bare mein jis ne apni biwi se kaha ke apna kuch mehar ya sara mehar mujhe hiba kar de (aur us ne kar diya) is ke thori hi dair baad us ne apni biwi ko talaq de di aur biwi ne (apne mehar ka hiba) wapas manga to Zuhri ne kaha ke agar shohar ne mehaz dhoka ke liye aisa kiya tha to ise mehar wapas karna ho ga. Lekin agar biwi ne apni khushi se mehar hiba kiya, aur shohar ne bhi kisi qisam ka dhoka is silsile mein ise nahi diya, to ye soorat jaiz ho gi. Allah Ta'ala ka farman hai "Fa-in tibna lakum an shai-in minhu nafsan" "Agar tumhari biwiyan dil se aur khush ho kar tumhein apne mehar ka kuch hissa de dein (to le sakte ho)."
.


Show diacritics
Hadith Number: 2588
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله، قالت عائشة رضي الله عنها" لما ثقل النبي صلى الله عليه وسلم فاشتد وجعه استاذن ازواجه ان يمرض في بيتي، فاذن له، فخرج بين رجلين تخط رجلاه الارض، وكان بين العباس وبين رجل آخر، فقال عبيد الله: فذكرت لابن عباس ما قالت عائشة، فقال لي: وهل تدري من الرجل الذي لم تسم عائشة؟ قلت: لا، قال: هو علي بن ابي طالب".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum ko Hisham ne khabar di, unhein Maamar ne, unhein Zuhri ne, kaha ke mujhe Ubaidullah Bin Abdullah ne khabar di ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki bimari barhi aur takleef shadeed ho gayi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni biwiyon se mere ghar mein ayyam-e-marz guzarne ki ijazat chahi aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko biwiyon ne ijazat de di to Aap is tarah tashreef laye ke donon qadam zameen par ragar kha rahe thay. Aap is waqt Abbas (Radi Allahu Anhu) aur ek aur sahab ke darmiyan thay. Ubaidullah ne bayan kiya ke phir mein ne Aisha (Radi Allahu Anha) ki is hadees ka zikar Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se kiya. To unhon ne mujh se poocha, Aisha (Radi Allahu Anha) ne jin ka naam nahi liya, jante ho wo kaun thay? Mein ne kaha ke nahi? Aap ne farmaya ke wo Ali Bin Abi Talib (Radi Allahu Anhu) thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2589
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" العائد في هبته كالكلب يقيء، ثم يعود في قيئه".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Taus ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Apna hiba wapas lene wala is kutte ki tarah hai jo qai kar ke phir chaat jata hai."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain