الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوَكَالَةِ
The Book of Representation
بَابُ إِذَا قَالَ الرَّجُلُ لِوَكِيلِهِ ضَعْهُ حَيْثُ أَرَاكَ اللَّهُ. وَقَالَ الْوَكِيلُ قَدْ سَمِعْتُ مَا قُلْتَ:
Chapter. If a person tells his deputy, "Spend it as Allah directs you, "and the deputy says, "I have heard what you have said."
Hadith Number: 2318
حدثني يحيى بن يحيى، قال: قرات على مالك، عن إسحاق بن عبد الله، انه سمع انس بن مالك رضي الله عنه، يقول:" كان ابو طلحة اكثر الانصار بالمدينة مالا، وكان احب امواله إليه بيرحاء، وكانت مستقبلة المسجد، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخلها، ويشرب من ماء فيها طيب، فلما نزلت: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92، قام ابو طلحة إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، إن الله تعالى يقول في كتابه: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92، وإن احب اموالي إلي بيرحاء، وإنها صدقة لله، ارجو برها وذخرها عند الله، فضعها يا رسول الله حيث شئت، فقال: بخ ذلك مال رائح، ذلك مال رائح، قد سمعت ما قلت فيها، وارى ان تجعلها في الاقربين، قال: افعل يا رسول الله، فقسمها ابو طلحة في اقاربه وبني عمه"، تابعه إسماعيل، عن مالك، وقال روح، عن مالك: رابح.
Mujh se Yahya Bin Yahya ne bayan kiya, kaha ke mein ne Imam Malik ke samne qirat ki bawasta Ishaq Bin Abdullah ke ke unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke Abu Talha (Radi Allahu Anhu) Madinah mein Ansar ke sab se maldar logon mein se thay. Birha (ek bagh) un ka sab se ziyada mahboob maal tha. Jo Masjid-e-Nabwi ke bilkul samne tha. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi wahan tashreef lay jate aur is ka nihayat meetha umdah pani peete thay. Phir jab Quran ki ayat «لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون» utri ”Tum naiki hargiz nahi hasil kar sakte jab tak na kharch karo Allah ki raah mein wo cheez jo tumhe ziyada pasand ho“ to Abu Talha (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaye aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Allah Ta'ala ne apni kitab mein farmaya hai «لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون» aur mujhe apne maal mein sab se ziyada pasand mera yahi bagh Birha hai. Ye Allah ki raah mein sadaqah hai. Is ki naiki aur zakheera-e-sawab ki umeed mein sirf Allah Ta'ala se rakhta hoon. Pas Aap jahan munasib samjhein ise kharch farma dein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, wah wah! ye bada hi nafa wala maal hai. Bahut hi mufeed hai. Is ke baare mein tum ne jo kuch kaha wo mein ne sun liya. Ab mein to yahi munasib samajhta hoon ke ise to apne rishtedaron hi mein taqseem kar day. Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Ya Rasul Allah! mein aisa hi karunga. Chunanche ye kunwan unhon ne apne rishtedaron aur chacha ki aulad mein taqseem kar diya. Is Riwayat ki mutabiyat Ismail ne Malik se ki hai. Aur Rauh ne Malik se (lafz «رائح» ke bajaye) «رابح» naqal kiya hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة