الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ مَسْحِ الرَّأْسِ مَرَّةً:
Chapter. The passing of wet hands over the head once only (while performing ablution).
Hadith Number: 192
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا عمرو بن يحيى، عن ابيه، قال: شهدت عمرو بن ابي حسن سال عبد الله بن زيد، عن وضوء النبي صلى الله عليه وسلم؟" فدعا بتور من ماء فتوضا لهم، فكفا على يديه فغسلهما ثلاثا، ثم ادخل يده في الإناء فمضمض واستنشق واستنثر ثلاثا بثلاث غرفات من ماء، ثم ادخل يده في الإناء فغسل وجهه ثلاثا، ثم ادخل يده في الإناء فغسل يديه إلى المرفقين مرتين مرتين، ثم ادخل يده في الإناء فمسح براسه فاقبل بيديه وادبر بهما، ثم ادخل يده في الإناء فغسل رجليه"، وحدثنا موسى، قال: حدثنا وهيب، قال: مسح راسه مرة.
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se ’Amr bin Yahya ne apne baap (Yahya) ke waaste se bayan kiya, woh kehte hain ke meri maujoodgi mein ’Amr bin Abi Hasan ne Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu se Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Wuzu ke baare mein poocha. To Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu ne paani ka ek tasht mangwaaya, phir un (logon) ko dikhaane ke liye Wuzu (shuru) kiya. (Pehle) tasht se apne haathon par paani giraaya. Phir unhein teen baar dhoya. Phir apna haath bartan ke andar daala, phir kulli ki aur naak mein paani daal kar naak saaf ki, teen chulluon se teen dafa. Phir apna haath bartan ke andar daala aur apne munh ko teen baar dhoya. Phir apna haath bartan ke andar daala aur dono haath kohniyon tak do do baar dhoye (phir) sar par masah kiya is tarah ke (pehle) aage ki taraf apna haath laaye phir peeche ki taraf le gaye. Phir bartan mein apna haath daala aur apne dono paaon dhoye (doosri riwayat mein) hum se Musa ne, un se Wuhaib ne bayan kiya ke Aap ne sar ka masah ek dafa kiya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة