الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْإِجَارَةِ
The Book of Hiring
بَابُ أَجْرِ السَّمْسَرَةِ:
Chapter. Wages of a broker.
Show diacritics
Hadith Number: Q2274
ولم ير ابن سيرين، وعطاء، وإبراهيم، والحسن باجر السمسار باسا، وقال ابن عباس: لا باس ان يقول بع هذا الثوب، فما زاد على كذا وكذا فهو لك، وقال ابن سيرين: إذا قال بعه بكذا فما كان من ربح فهو لك، او بيني وبينك فلا باس به، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: المسلمون عند شروطهم.
Aur Ibn Sirin aur Ata aur Ibrahim aur Hasan Basri (Rahimahumullah) dallali par ujrat lene mein koi burayi nahi khayal karte thay. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya, agar kisi se kaha jaye ke ye kapra itni qeemat mein bech la. Jitna ziyada ho wo tumhara hai, to is mein koi haraj nahi hai. Ibn Sirin ne farmaya ke agar kisi ne kaha ke itne in bech la, jitna nafa hoga wo tumhara hai ya (ye kaha ke) mere aur tumhare darmiyan taqseem ho jaye ga. To is mein koi haraj nahi. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Musalman apni taye-karda sharait par qayam rahenge
.


Show diacritics
Hadith Number: 2274
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنه،" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يتلقى الركبان، ولا يبيع حاضر لباد"، قلت: يا ابن عباس، ما قوله لا يبيع حاضر لباد، قال: لا يكون له سمسارا.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Maamar ne bayan kiya, un se Ibn Tawus ne, un se un ke baap ne, aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (tijarati) qafilon se (mandi se aage ja kar) mulaqat karne se mana farmaya tha. Aur ye ke shehri dehati ka maal na bechein, mein ne poocha, ay Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma)! ”Shehri dehati ka maal na bechein“ ka kya matlab hai ? Unhon ne farmaya ke murad ye hai ke un ke dallal na banein
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain