الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْبُيُوعِ
The Book of Sales (Bargains)
بَابُ النَّهْيِ لِلْبَائِعِ أَنْ لاَ يُحَفِّلَ الإِبِلَ وَالْبَقَرَ وَالْغَنَمَ وَكُلَّ مُحَفَّلَةٍ:
Chapter. The seller is not allowed to keep camels, cows, sheep or any other animal unmilked for a long time (so as to get more price by cheating).
Hadith Number: 2148
حدثنا ابن بكير، حدثنا الليث، عن جعفر بن ربيعة، عن الاعرج، قال ابو هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" لا تصروا الإبل والغنم، فمن ابتاعها بعد فإنه بخير النظرين بعد ان يحتلبها، إن شاء امسك، وإن شاء ردها وصاع تمر"، ويذكر عن ابي صالح، ومجاهد، والوليد بن رباح، وموسى بن يسار، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم صاع تمر، وقال بعضهم: عن ابن سيرين صاعا من طعام وهو بالخيار ثلاثا، وقال بعضهم: عن ابن سيرين صاعا من تمر، ولم يذكر ثلاثا والتمر اكثر.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Liath Bin Saad ne bayan kiya, un se Jafar Bin Rabia ne, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz Aaraj ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (bechne ke liye) ontni aur bakri ke thanon mein khoon ko rok kar na rakkho. Agar kisi ne (dhoka mein aa kar) koi aisa janwar khareed liya to usay doodh dohne ke baad donon ikhtiyarat hain chahe to janwar ko rakh le, aur chahe to wapas kar de. Aur ek saa khajoor is ke sath doodh ke badal dede. Abu Salih, Mujahid, Waleed Bin Rabah aur Musa Bin Yasar se ba-wasita Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat ek saa khajoor hi ki hai. Baaz rawiyon ne Ibn Sireen se ek saa khajoor ki riwayat ki hai aur ye ke khareedar ko (soorat-e-madhkoora mein) teen din ka ikhtiyar ho ga. Agarchay baaz doosre rawiyon ne Ibn Sireen hi se ek saa khajoor ki bhi riwayat ki hai, lekin teen din ke ikhtiyar ka zikr nahi kiya aur (tawan mein) khajoor dene ki riwayat hi zyada hain
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2149
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، يقول: حدثنا ابو عثمان، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" من اشترى شاة محفلة فردها، فليرد معها صاعا من تمر، ونهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تلقى البيوع".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mu'tamir ne bayan kiya, kaha ke mein ne apne baap se suna, wo kehte thay ke hum se Abu Usman ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jo shakhs «musarrah» bakri khareede aur usay wapas karna chahe to (asal malik ko) is ke sath ek saa bhi de. Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qafila walon se (jo mal bechne layein) aage barh kar khareedne se mana farmaya hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2150
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تلقوا الركبان ولا يبع بعضكم على بيع بعض، ولا تناجشوا، ولا يبع حاضر لباد، ولا تصروا الغنم، ومن ابتاعها فهو بخير النظرين بعد ان يحتلبها، إن رضيها امسكها، وإن سخطها ردها وصاعا من تمر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abu-al-Zinad ne, unhein Aaraj ne, aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (tijarti) qafilon ki peshwai (un ka saman shehar pohanche se pehle hi khareed lene ki gharz se) na karo. Ek shakhs kisi doosre ki bai par bai na kare aur koi «najash» (dhoka fareb) na kare aur koi shehri, badwi ka mal na beche aur bakri ke than mein doodh na roke. Lekin agar koi is (aakhri) soorat mein janwar khareed le to usay dohne ke baad donon tarah ke ikhtiyarat hain. Agar wo is bai par raazi hai to janwar ko rok sakta hai aur agar wo raazi nahi to ek saa khajoor is ke sath de kar usay wapas kar de
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة