الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ غَسْلِ الرِّجْلَيْنِ فِي النَّعْلَيْنِ وَلاَ يَمْسَحُ عَلَى النَّعْلَيْنِ:
Chapter. Washing the feet, when one is wearing shoes; and it is not sufficient for one to pass a wet hand over the shoes (but one should take off the shoes and wash one’s feet).
Hadith Number: 166
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سعيد المقبري، عن عبيد بن جريج، انه قال لعبد الله بن عمر: يا ابا عبد الرحمن، رايتك تصنع اربعا لم ار احدا من اصحابك يصنعها، قال: وما هي يا ابن جريج؟ قال: رايتك لا تمس من الاركان إلا اليمانيين، ورايتك تلبس النعال السبتية، ورايتك تصبغ بالصفرة، ورايتك إذا كنت بمكة اهل الناس إذا راوا الهلال ولم تهل انت حتى كان يوم التروية، قال عبد الله:" اما الاركان، فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يمس إلا اليمانيين، واما النعال السبتية فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يلبس النعل التي ليس فيها شعر ويتوضا فيها، فانا احب ان البسها، واما الصفرة فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصبغ بها، فانا احب ان اصبغ بها، واما الإهلال فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل حتى تنبعث به راحلته".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne Sa’eed Al-Maqburi ke waaste se khabar di, woh Ubaidullah bin Juraij se naql karte hain ke unhon ne Abdullah bin Umar se kaha aye Abu Abdur Rahman! Main ne tumhein chaar aise kaam karte huwe dekha hai jinhein tumhaare saathiyon ko karte huwe nahi dekha. Woh kehne lage, aye Ibn-e-Juraij! Woh kya hain? Ibn-e-Juraij ne kaha ke main ne tawaaf ke waqt aap ko dekha ke do yamaani rukno ke siwa kisi aur rukn ko aap nahi chhoote ho. (Doosre) main ne aap ko basti joote pahne huwe dekha aur (teesre) main ne dekha ke aap zard rang iste’maal karte ho aur (chauthi baat) main ne yeh dekhi ke jab aap Makkah main the, log (Zul-Hijjah ka) chaand dekh kar Labbaik pukaarne lagte hain. (Aur) Hajj ka Ehraam baandh lete hain aur aap aathween tareekh tak Ehraam nahi baandhte. Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ne jawaab diya ke (doosre) arkaan ko to main yun nahi chhoota ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yamaani rukno ke alawah kisi aur rukn ko chhoote huwe nahi dekha aur rahe joote, to main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko aise joote pahne huwe dekha ke jin ke chamde par baal nahi the aur Aap unhien ko pahne pahne Wuzu farmaaya karte the, to main bhi unhien ko pahanna pasand karta hun aur zard rang ki baat yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko zard rang rangte huwe dekha hai. To main bhi isi rang se rangna pasand karta hun aur Ehraam baandhne ka mu’aamla yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko us waqt tak Ehraam baandhte huwe nahi dekha jab tak a Aap ki oontni Aap ko le kar na chal padti.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة