الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْبُيُوعِ
The Book of Sales (Bargains)
بَابُ: {وَإِذَا رَأَوْا تِجَارَةً أَوْ لَهْوًا انْفَضُّوا إِلَيْهَا}:
Chapter.“And when they see some merchandise or some amusement [beating of Tambur (drum) etc.], they disperse headlong to it...”(V.62:11)
Hadith Number: Q2064
وقال قتادة: كان القوم يتجرون، ولكنهم كانوا إذا نابهم حق من حقوق الله، لم تلههم تجارة ولا بيع عن ذكر الله، حتى يؤدوه إلى الله.
Aur Surah-al-Noor mein Allah Tabarak-wa-Ta'ala ka ye farmana «Rijalul-la tulhee-him tijaratun-wala bai-un-an dhikril-lah» ”Wo log jinhein tijarat aur khareed-o-farokht Allah ke zikr se ghafil nahi karti“ Qatada ne kaha ke Sahaba Kiram (Radi Allahu Anhum) tijarat kiya karte thay. Lekin jonhi Allah Ta'ala ka koi farz samne aata to un ki tijarat aur saudagari Allah ke zikr se unhein ghafil nahi kar sakti thi ta-aan-kay wo Allah Ta'ala ke farz ko ada na kar lein
.
.
Hadith Number: 2064
حدثني محمد، قال: حدثني محمد بن فضيل، عن حصين، عن سالم بن ابي الجعد، عن جابر رضي الله عنه، قال:" اقبلت عير، ونحن نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم الجمعة، فانفض الناس إلا اثني عشر رجلا، فنزلت هذه الآية: وإذا راوا تجارة او لهوا انفضوا إليها وتركوك قائما سورة الجمعة آية 11".
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad Bin Fazail ne bayan kiya, un se Husain ne bayan kiya, un se Salim Bin Abi-al-Jadh ne bayan kiya aur un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (tijarti) onton (ka qafila) aaya. Hum is waqt Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Juma (ke khutba) mein shareek thay. Barah sahaba ke siwa baqi tamam hazraat udhar chale gaye is par ye ayat utri «Wa idha ra-au tijaratan au lahwan-infazzu ilaiha wa-tarakooka qa-ima» ”Jab saudagari ya tamasha dekhte hain to is ki taraf dorr parte hain aur aap ko khara chor dete hain.“
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة