الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ الْمَضْمَضَةِ فِي الْوُضُوءِ:
Chapter. To rinse the mouth with water while performing ablution.
Show diacritics
Hadith Number: Q164
قاله ابن عباس وعبد الله بن زيد رضي الله عنهم عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is masle ko Ibn-e-Abbas aur Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhum ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 164
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عطاء بن يزيد، عن حمران مولى عثمان بن عفان، انه راى عثمان بن عفان دعا بوضوء، فافرغ على يديه من إنائه فغسلهما ثلاث مرات، ثم ادخل يمينه في الوضوء، ثم تمضمض واستنشق واستنثر، ثم غسل وجهه ثلاثا ويديه إلى المرفقين ثلاثا، ثم مسح براسه، ثم غسل كل رجل ثلاثا، ثم قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم يتوضا نحو وضوئي هذا، وقال:" من توضا نحو وضوئي هذا، ثم صلى ركعتين لا يحدث فيهما نفسه، غفر الله له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne Zohri ke waaste se khabar di, kaha hum ko ’Ata bin Yazeed ne Humran Maula Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu ke waaste se khabar di, unhon ne Uthman Radhiallahu Anhu ko dekha ke unhon ne Wuzu ka paani mangwaaya aur apne dono haathon par bartan se paani (le kar) daala. Phir dono haathon ko teen dafa dhoya. Phir apna dahna haath Wuzu kar ke paani mein daala. Phir kulli ki, phir naak mein paani diya, phir naak saaf ki. Phir teen dafa apna munh dhoya aur kohniyon tak teen dafa haath dhoye, phir apne sar ka masah kiya. Phir har ek paaon teen dafa dhoya. Phir farmaaya main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ke Aap mere is Wuzu jaisa Wuzu farmaaya karte the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs mere is Wuzu jaisa Wuzu kare aur (huzoor-e-qalb se) do rakat padhe jis mein apne dil se baatein na kare. To Allah Ta’ala us ke pichle gunaah mu’aaf kar deta hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain