الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِكَافِ
The Book of Itikaf
بَابُ الاِعْتِكَافِ:
Chapter. The Itikaf and coming of the Prophet ﷺ out of Itikaf in the morning of the twentieth (of Ramadan).
Hadith Number: 2036
حدثني عبد الله بن منير، سمع هارون بن إسماعيل، حدثنا علي بن المبارك، قال: حدثني يحيى بن ابي كثير، قال: سمعت ابا سلمة بن عبد الرحمن، قال: سالت ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، قلت:" هل سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يذكر ليلة القدر؟ قال: نعم، اعتكفنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم العشر الاوسط من رمضان، قال: فخرجنا صبيحة عشرين، قال: فخطبنا رسول الله صلى الله عليه وسلم صبيحة عشرين، فقال: إني اريت ليلة القدر وإني نسيتها، فالتمسوها في العشر الاواخر في وتر، فإني رايت اني اسجد في ماء وطين، ومن كان اعتكف مع رسول الله صلى الله عليه وسلم فليرجع، فرجع الناس إلى المسجد وما نرى في السماء قزعة، قال: فجاءت سحابة فمطرت واقيمت الصلاة، فسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم في الطين والماء، حتى رايت اثر الطين في ارنبته وجبهته".
Mujh se Abdullah Bin Muneer ne bayan kiya, unhon ne Haroon Bin Ismail se suna, unhon ne kaha ke hum se Ali Bin Mubarak ne bayan kiya kaha ke mujh se Yahya Bin Abi Kathir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Abu Salma Bin Abdur Rahman se suna, unhon ne kaha mein ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se suna, mein ne un se poocha tha ke kya aap ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Shab-e-Qadr ka zikr suna hai ? Unhon ne kaha ke han! hum ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Ramzan ke doosre asharay mein aitikaf kiya tha, Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke phir bees ki subah ko hum ne aitikaf khatam kar diya. Isi subah ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humein khitab farmaya ke mujhe Shab-e-Qadr dikhayi gayi thi, lekin phir bhula di gayi, is liye ab usay aakhri asharay ki taaq raaton mein talash karo. Mein ne (khwab mein) dekha hai ke mein keechar, pani mein sajda kar raha hoon aur jin logon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath (is saal) aitikaf kiya tha wo phir dobara karein. Chunanche wo log masjid mein dobara aa gaye. Aasman mein kahin badal ka ek tukra bhi nahi tha ke achanak badal aaya aur barish shuru ho gayi. Phir namaz ki takbeer hui aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne keechar mein sajda kiya. Mein ne khud aap ki naak aur peshani par keechar laga hua dekha
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة