الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْمَدِينَةِ
The Book About The Virtues Or Al-Madina.
بَابُ لاَ يَدْخُلُ الدَّجَّالُ الْمَدِينَةَ:
Chapter. Ad-Dajjal will not be able to enter Al-Madina.
Show diacritics
Hadith Number: 1879
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن جده، عن ابي بكرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يدخل المدينة رعب المسيح الدجال لها يومئذ سبعة ابواب، على كل باب ملكان".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se un ke dada ne aur un se Abu Bakrah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Madinah par Dajjal ka raub bhi nahi pare ga is daur mein Madinah ke saat darwaze hon ge aur har darwaze par do Farishte hon ge
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1880
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نعيم بن عبد الله المجمر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" على انقاب المدينة ملائكة، لا يدخلها الطاعون، ولا الدجال".
Hum se Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nuaym Bin Abdullah al-Mujmir ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Madinah ke raston par Farishte hain na is mein taoon aa sakta hai na Dajjal
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1881
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا الوليد، حدثنا ابو عمرو، حدثنا إسحاق، حدثني انس بن مالك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليس من بلد إلا سيطؤه الدجال، إلا مكة، والمدينة ليس له من نقابها نقب إلا عليه الملائكة صافين يحرسونها، ثم ترجف المدينة باهلها ثلاث رجفات، فيخرج الله كل كافر ومنافق".
Hum se Ibrahim Bin al-Munzir ne bayan kiya, un se Walid ne bayan kiya, un se Abu Amr Auzai ne bayan kiya, un se Ishaq ne bayan kiya, un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya koi aisa shehar nahi mile ga jisay Dajjal pamal na kare ga, siwaye Makkah aur Madinah ke, un ke har raste par saff basta Farishte kharay hon ge jo un ki hifazat karein ge phir Madinah ki zameen teen martaba kanpe gi jis se ek ek kafir aur munafiq ko Allah Ta'ala is mein se bahar kar de ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1882
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابا سعيد الخدريرضي الله عنه، قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثا طويلا عن الدجال، فكان فيما حدثنا به، ان قال:" ياتي الدجال وهو محرم عليه ان يدخل نقاب المدينة بعض السباخ التي بالمدينة، فيخرج إليه يومئذ رجل هو خير الناس، او من خير الناس، فيقول: اشهد انك الدجال الذي حدثنا عنك رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثه، فيقول الدجال: ارايت إن قتلت هذا ثم احييته، هل تشكون في الامر؟ فيقولون: لا، فيقتله، ثم يحييه، فيقول: حين يحييه، والله ما كنت قط اشد بصيرة مني اليوم، فيقول الدجال: اقتله، فلا اسلط عليه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhon ne bayan kiya ke mujhe Ubaidullah Bin Utba ne khabar di ke Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum se Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Dajjal ke mutaliq ek lambi hadees bayan ki, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni hadees mein ye bhi farmaya tha ke Dajjal Madinah ki ek khari shor zameen tak pohanche ga is par Madinah mein dakhla to haram ho ga. (Madinah se) is din ek shakhs is ki taraf nikal kar barhe ga, ye logon mein ek behtareen naik mard ho ga ya (ye farmaya ke) buzurg tareen logon mein se ho ga wo shakhs kahe ga ke mein gawahi deta hoon ke tu wahi Dajjal hai jis ke mutaliq humein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ittela di thi Dajjal kahe ga kya mein isay qatl kar ke phir zinda kar daloon to tum logon ko mere mamle mein koi shubha reh jaye ga ? Is ke hawari kahein ge nahi, chunanche Dajjal unhein qatl kar ke phir zinda kar de ga. Jab Dajjal unhein zinda kar de ga to wo banda kahe ga bakhuda ab to mujh ko poora haal maloom ho gaya ke tu hi Dajjal hai Dajjal kahe ga lao isay phir qatl kar doon lekin is martaba wo qabu na pa sake ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain