الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْعُمْرَةِ
The Book of Al-Umra
بَابُ مَا يَقُولُ إِذَا رَجَعَ مِنَ الْحَجِّ أَوِ الْعُمْرَةِ أَوِ الْغَزْوِ:
Chapter. What should one say on returning from Hajj, Umra and Ghazwa?
Show diacritics
Hadith Number: 1797
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا قفل من غزو او حج او عمرة يكبر على كل شرف من الارض ثلاث تكبيرات، ثم يقول: لا إله إلا الله وحده لا شريك له له الملك وله الحمد وهو على كل شيء قدير آيبون تائبون عابدون ساجدون لربنا حامدون صدق الله وعده ونصر عبده وهزم الاحزاب وحده".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hume Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab kisi ghazwa ya Haj-o-Umrah se wapas hote to jab bhi kisi buland jagah ka charhao hota to teen martaba «Allahu Akbar» kehte aur ye dua parhte «La ilaha illallahu wahdahu la shareeka lahu, lahul mulku, wa lahul hamdu, wa huwa ala kulli shayin qadeer, ayiboona taiboona abidoona sajidoona lirabbina hamidoona, sadaqallahu wadahu wa nasara abdahu wa hazamal ahzaba wahdahu» ”Allah ke siwa koi mabood nahi wo akela hai is ka koi shareek nahi, mulk isi ka hai aur hamd isi ke liye hai wo har cheez par qadir hai, hum wapas ho rahe hain, tauba karte hue ibadat karte hue apne Rabb ke huzoor sajda karte hue aur is ki hamd karte hue, Allah ne apna waada sacha kar dikhaya, apne bande ki madad ki aur saare lashkar ko tanha shikast de di. (Fatah Makkah ki taraf ishara hai)“
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain