الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ الطَّوَافِ بَعْدَ الصُّبْحِ وَالْعَصْرِ:
Chapter. To perform Tawaf (of the Kabah) after the morning and Asr prayer.
Hadith Number: Q1628
وكان ابن عمر رضي الله عنهما يصلي ركعتي الطواف ما لم تطلع الشمس، وطاف عمر بعد صلاة الصبح فركب حتى صلى الركعتين بذي طوى.
Sooraj nikalne se pehle Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) tawaf ki do rakat parh lete thay. Aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne subah ki namaz ke baad tawaf kiya phir sawar hue aur (tawaf ki) do rakatein Zi Tuwa mein parheen
.
.
Hadith Number: 1628
حدثنا الحسن بن عمر البصري، حدثنا يزيد بن زريع، عن حبيب، عن عطاء، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها،" ان ناسا طافوا بالبيت بعد صلاة الصبح، ثم قعدوا إلى المذكر حتى إذا طلعت الشمس قاموا يصلون، فقالت عائشة رضي الله عنها: قعدوا حتى إذا كانت الساعة التي تكره فيها الصلاة قاموا يصلون".
Hum se Hasan Bin Umar Basri (Rahimahullah) ne bayan kiya, kaha ke hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, un se Habib ne, un se Ata ne, un se Urwah ne, un se Umm-ul-Momineen Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke kuch logon ne subah ki namaz ke baad Kaabah ka tawaf kiya. Phir ek waaz karne wale ke paas baith gaye aur jab sooraj nikalne laga to wo log namaz (tawaf ki do rakat) parhne ke liye kharay ho gaye. Is par Aisha (Radi Allahu Anha) ne (nagowari ke sath) farmaya jab se to ye log baithe thay aur jab wo waqt aya ke jis mein namaz makrooh hai to namaz ke liye kharay ho gaye
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1629
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، ان عبد الله رضي الله عنه، قال:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم ينهى عن الصلاة عند طلوع الشمس وعند غروبها".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Zamrah ne bayan kiya, kaha ke hum se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya, un se Nafi ne ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya, mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) sooraj tulu hote aur ghuroob hote waqt namaz parhne se rokte thay
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1630
حدثني الحسن بن محمد هو الزعفراني، حدثنا عبيدة بن حميد، حدثني عبد العزيز بن رفيع، قال:" رايت عبد الله بن الزبير رضي الله عنهما يطوف بعد الفجر ويصلي ركعتين.
Hum se Hasan Bin Muhammad Zaafrani ne bayan kiya, kaha ke hum se Ubaidah Bin Hameed ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdul Aziz Bin Rafiee ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abdullah Bin Zubair (Radi Allahu Anhuma) ko dekha ke aap Fajr ki namaz ke baad tawaf kar rahe thay aur phir aap ne do rakat (tawaf ki) namaz parhi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1631
قال عبد العزيز: ورايت عبد الله بن الزبير يصلي ركعتين بعد العصر، ويخبر ان عائشة رضي الله عنها حدثته، ان النبي صلى الله عليه وسلم لم يدخل بيتها إلا صلاهما".
Abdul Aziz ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Zubair (Radi Allahu Anhuma) ko Asr ke baad bhi do rakat namaz parhte dekha tha. Wo batate thay ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne un se bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab bhi un ke ghar aate (Asr ke baad) to ye do rakat zaroor parhte thay
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة