الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ الرَّمَلِ فِي الْحَجِّ وَالْعُمْرَةِ:
Chapter. Doing Ramal in performing Tawaf during Hajj and Umra.
Hadith Number: 1604
حدثني محمد بن سلام، حدثنا سريج بن النعمان، حدثنا فليح، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" سعى النبي صلى الله عليه وسلم ثلاثة اشواط ومشى اربعة في الحج والعمرة" تابعه الليث، قال: حدثني كثير بن فرقد، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha ke hum se Sureij bin Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Fulaih ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pehle teen chakron mein raml kiya aur baqiya chaar chakron mein hasb-e-mamool chale , Hajj aur Umrah dono mein . Sureij ke saath is hadees ko Layth ne riwayat kiya hai . Kaha ke mujh se Kaseer bin Farqad ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1605
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر بن ابي كثير، قال: اخبرني زيد بن اسلم، عن ابيه، ان عمر بن الخطاب رضي الله عنه، قال للركن:" اما والله، إني لاعلم انك حجر لا تضر ولا تنفع، ولولا اني رايت النبي صلى الله عليه وسلم استلمك ما استلمتك فاستلمه، ثم قال: فما لنا وللرمل إنما كنا راءينا به المشركين وقد اهلكهم الله، ثم قال: شيء صنعه النبي صلى الله عليه وسلم فلا نحب ان نتركه".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha ke humein Muhammad bin Jafar ne khabar di , kaha ke mujhe Zaid bin Aslam ne khabar di , unhein in ke walid ne ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne Hajr-e-Aswad ko khitab kar ke farmaya ”Bakhuda mujhe khoob maloom hai ke tu sirf ek patthar hai jo na koi nafa puhancha sakta hai na nuqsan aur agar maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko tujhe bosa dete na dekha hota to main kabhi bosa na deta .“ Is ke baad Aap ne bosa diya . Phir farmaya ”Aur ab humein raml ki bhi kya zaroorat hai . Hum ne is ke zariya mushrikon ko apni quwwat dikhayi thi to Allah ne in ko tabah kar diya .“ Phir farmaya ”Jo amal Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya hai usay ab chhorna bhi hum pasand nahi karte .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1606
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" ما تركت استلام هذين الركنين في شدة ولا رخاء منذ رايت النبي صلى الله عليه وسلم يستلمهما"، قلت لنافع: اكان ابن عمر يمشي بين الركنين، قال: إنما كان يمشي ليكون ايسر لاستلامه.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Yahya Qattan ne byaan kiya , un se Ubaidullah Umari ne , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya . Jab se maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko in dono Rukn-e-Yamani ko choomte hue dekha maine bhi is ke choomne ko khwah sakht haalat hon ya narm nahi chhora . Maine Nafi se poocha kya Ibn Umar razi Allahu anhuma in dono Yamani rukno ke darmiyan mamool ke mutabiq chalte thay ? To unhon ne bataya ke Aap mamool ke mutabiq is liye chalte thay taake Hajr-e-Aswad ko chhoune mein aasani rahe .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة