الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب من قضى ولاعن فى المسجد:
Jo masjid mein faisla kare ya la'aan karaye.
Show diacritics
Hadith Number: Q7165
ولاعن عمر عند منبر النبي صلى الله عليه وسلم وقضى شريح، والشعبي، ويحيى بن يعمر في المسجد، وقضى مروان على زيد بن ثابت باليمين عند المنبر وكان الحسن، وزرارة بن اوفى يقضيان في الرحبة خارجا من المسجد
Aur Umar Radi Allahu Anhu ne Masjid-e-Nabwi ke mimbar ke paas liaan kara diya aur Shurayh Qazi aur Shabi aur Yahya bin Yamar ne masjid mein faisla kiya aur Marwan ne Zaid bin Sabit ko masjid mein mimbar-e-nabwi ke paas qasam khane ka hukm diya aur Imam Hasan Basri aur Zurara bin Aufa donon masjid ke bahar ek dalan mein baith kar qaza ka kaam kiya karte thay. Ibn Abi Shaiba ki riwayat mein hai ke ayn masjid mein baith kar wo faisle karte thay.


Show diacritics
Hadith Number: 423
حدثنا يحيى، قال: اخبرنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني ابن شهاب، عن سهل بن سعد، ان رجلا، قال:" يا رسول الله، ارايت رجلا وجد مع امراته رجلا، ايقتله؟ فتلا عنا في المسجد، وانا شاهد".
Hum se Yahya bin Moosa ne bayan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne , kaha hum ko Ibn Juraij ne , kaha humein Ibn Shihab ne Sahl bin Saad Saidi se ke ek shakhs ne kaha , ya Rasool Allah! is shakhs ke baray mein farmaye jo apni biwi ke sath kisi ghair mard ko badfeeli karte hue dekhta hai , kya usay maar daale ? aakhir is mard ne apni biwi ke sath masjid mein lian kiya aur is waqt mein mojood tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة