الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة بني المصطلق من خزاعة وهى غزوة المريسيع:
Bab: Ghazwah-e-Banu al-Mustaliq ka bayan jo qabila Banu Khuza’ah se hua tha aur yahi Ghazwah-e-Muraysi’ (bhi kehlata) hai.
Hadith Number: Q4138
قال ابن إسحاق: وذلك سنة ست. وقال موسى بن عقبة: سنة اربع. وقال النعمان بن راشد عن الزهري: كان حديث الإفك في غزوة المريسيع.
Ibn Ishaq ne bayan kiya ke ye ghazwa 6 Hijri mein hua tha aur Musa Bin Uqba ne bayan kiya ke 4 Hijri mein aur Numan Bin Rashid ne Zuhri se bayan kiya ke waqia-e-ifk Ghazwa Muraisi mein pesh aaya tha
.
.
Hadith Number: 4125
قال ابو عبد الله: قال لي عبد الله بن رجاء , اخبرنا عمران القطان , عن يحيى بن ابي كثير , عن ابي سلمة , عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , ان النبي صلى الله عليه وسلم:" صلى باصحابه في الخوف في غزوة السابعة غزوة ذات الرقاع , قال ابن عباس:" صلى النبي صلى الله عليه وسلم الخوف بذي قرد".
Aur Abdullah Bin Raja ne kaha ‘ unhein Imran Qattan ne khabar di ‘ unhein Yahya Bin Kaseer ne ‘ unhein Abu Salama ne aur unhein Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne ashab ke sath namaz-e-khauf saatvein ghazwa mein parhi thi. Yani Ghazwa Zat-ur-Riqa mein. Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne namaz-e-khauf Zu Qarad mein parhi thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة