الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب صلاة الخوف
Kitab: Namaz-e-Khauf ka bayan
باب صلاة الخوف رجالا وركبانا:
Bab: Khauf ki namaz paidal aur sawar reh kar parhna Quran Shareef mein «rijalan» , «rajil» ki jama’ hai (yani pa-piyadah).
Show diacritics
Hadith Number: 943
حدثنا سعيد بن يحيى بن سعيد القرشي، قال: حدثني ابي، قال: حدثنا ابن جريج، عن موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر، نحوا من قول مجاهد إذا اختلطوا قياما، وزاد ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" وإن كانوا اكثر من ذلك فليصلوا قياما وركبانا".
Hum se Saeed bin Yahya bin Saeed Qurashi ne byaan kiya kaha ke mujh se mere baap Yahya ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , un se Musa bin Uqbah ne , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne Mujahid ke qaul ki tarah byaan kiya ke jab jang mein log aik doosre se guth jayein to kharay kharay namaaz parh lein aur Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se apni riwayat mein izafah aur kiya hai ke agar kafir bahut saare hon ke musalmanon ko dam na lene dein to kharay kharay aur sawaar reh kar (jis taur mumkin ho) isharon se hi sahi magar namaaz parh lein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 942
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: سالته، هل صلى النبي صلى الله عليه وسلم يعني صلاة الخوف؟ قال:اخبرني سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما قال:" غزوت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم قبل نجد فوازينا العدو فصاففنا لهم، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي لنا فقامت طائفة معه تصلي واقبلت طائفة على العدو وركع رسول الله صلى الله عليه وسلم بمن معه وسجد سجدتين، ثم انصرفوا مكان الطائفة التي لم تصل فجاءوا فركع رسول الله صلى الله عليه وسلم بهم ركعة وسجد سجدتين ثم سلم، فقام كل واحد منهم فركع لنفسه ركعة وسجد سجدتين".
Hum se Abul Yamaan ne byaan kiya , kaha ke hamein Shuayb ne Zuhri se khabar di , unhon ne Zuhri se poocha kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Salat al-Khawf parhi thi? Is par unhon ne farmaya ke hamein Salim ne khabar di ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne batlaya ke main Najd ki taraf Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath Ghazwa (Zaat ur-Riqa) mein shareek tha . Dushman se muqabla ke waqt hum ne safein bandhein . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamein Khauf ki namaaz parhayi (to hum mein se) aik jamaat Aap salla Allahu alaihi wasallam ke sath namaaz parhne mein shareek ho gayi aur doosra giroh dushman ke muqabla mein khara raha . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni iqtada mein namaaz parhne walon ke sath aik ruku aur do sajde kiye . Phir yeh log laut kar is jamaat ki jagah aa gaye jis ne abhi namaaz nahi parhi thi . Ab doosri jamaat aayi . Un ke sath bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aik ruku aur do sajde kiye . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne salam pher diya . Is giroh mein se har shakhs khara hua aur us ne akele akele aik ruku aur do sajde ada kiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة