الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب القائلة بعد الجمعة:
Bab: Jumu’ah ki namaz ke baad sona.
Hadith Number: 940
حدثنا محمد بن عقبة الشيباني الكوفي، قال: حدثنا ابو إسحاق الفزاري، عن حميد، قال: سمعت انسا، يقول:" كنا نبكر إلى الجمعة ثم نقيل".
Hum se Muhammad bin Uqbah Shaybani ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Ishaq Fazari Ibrahim bin Muhammad ne byaan kiya , un se Humaid Taweel ne , unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna . Aap farmate thay ke hum Juma savere parhte , is ke baad dopehar ki neend lete thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 905
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا حميد، عن انس، قال:" كنا نبكر بالجمعة ونقيل بعد الجمعة".
Hum se Abdaan ne byaan kiya , kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Hameed Taweel ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se khabar di . Aap ne farmaya ke hum juma sawere parh liya karte aur juma ke baad aaram karte the .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة