الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب الأذان يوم الجمعة:
Bab: Jumu’ah ke din azan ka bayan.
Hadith Number: 912
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن السائب بن يزيد، قال:" كان النداء يوم الجمعة اوله إذا جلس الإمام على المنبر على عهد النبي صلى الله عليه وسلم وابي بكر، وعمر رضي الله عنهما، فلما كان عثمان رضي الله عنه وكثر الناس زاد النداء الثالث على الزوراء"، قال ابو عبد الله: الزوراء موضع بالسوق بالمدينة.
Hum se Aadam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Abi Zayb ne Zuhri ke waaste se byaan kiya , un se Saib bin Yazid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke zamane mein juma ki pehli azaan us waqt di jati thi jab Imam minbar par khutbah ke liye baithte lekin Usman razi Allahu anhu ke zamana mein jab musalmanon ki kasrat ho gayi to woh maqam Zawra se aik aur azaan dilwane lage . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmahu Allah) farmate hain ke Zawra Madinah ke bazaar mein aik jagah hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 913
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا عبد العزيز بن ابي سلمة الماجشون، عن الزهري، عن السائب بن يزيد،" ان الذي زاد التاذين الثالث يوم الجمعة عثمان بن عفان رضي الله عنه حين كثر اهل المدينة ولم يكن للنبي صلى الله عليه وسلم مؤذن غير واحد، وكان التاذين يوم الجمعة حين يجلس الإمام يعني على المنبر".
Hum se Abu Naeem Fadl bin Dukayn ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abu Salamah Maajshoon ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Zuhri ne byaan kiya , un se Saib bin Yazid ne ke juma mein teesri azaan Usman bin Affan razi Allahu anhu ne barhayi jabke Madinah mein log zyada ho gaye thay jabke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke aik hi muazzin thay . (Aap salla Allahu alaihi wasallam ke daur mein) juma ki azaan us waqt di jati jab Imam minbar par baithta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 915
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ان السائب بن يزيد اخبره،" ان التاذين الثاني يوم الجمعة امر به عثمان حين كثر اهل المسجد، وكان التاذين يوم الجمعة حين يجلس الإمام".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne Aqeel ke waaste se byaan kiya , un se Ibn Shihab ne ke Saib bin Yazid ne unhein khabar di ke juma ki doosri azaan ka hukm Usman bin Affan razi Allahu anhu ne us waqt diya jab namazi bahut zyada ho gaye thay aur juma ke din azaan us waqt hoti jab Imam minbar par baitha karta tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 916
حدثنا محمد بن مقاتل، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: سمعت السائب بن يزيد، يقول:" إن الاذان يوم الجمعة كان اوله حين يجلس الإمام يوم الجمعة على المنبر في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم وابي بكر، وعمر رضي الله عنهما، فلما كان في خلافة عثمان بن عفان رضي الله عنه وكثروا، امر عثمان يوم الجمعة بالاذان الثالث، فاذن به على الزوراء فثبت الامر على ذلك".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya unhon ne kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha ke hum ko Yunus bin Yazid ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saib bin Yazid razi Allahu anhu se yeh suna tha ke juma ki pehli azaan Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke zamane mein us waqt di jati thi jab Imam minbar par baithta . Jab Usman bin Affan razi Allahu anhu ka daur aaya aur namaziyon ki tadaad barh gayi to aap ne juma ke din aik teesri azaan ka hukm diya , yeh azaan maqam Zawra par di gayi aur baad mein yahi dastoor qaim raha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة