الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب يسلم حين يسلم الإمام:
Bab: Is bare mein ke imam ke salam pherte hi muqtadi ko bhi salam pherna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 838
حدثنا حبان بن موسى، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا معمر، عن الزهري، عن محمود بن الربيع، عن عتبان بن مالك، قال:" صلينا مع النبي صلى الله عليه وسلم فسلمنا حين سلم".
Hum se Hibban bin Musa ne byaan kiya , kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Mamar bin Rashid ne Zuhri se khabar di , unhein Mahmood bin Rabee Ansari ne unhein Itban bin Malik razi Allahu anhu ne Aap ne farmaya ke hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhi . Phir jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ne salam phera to hum ne bhi salam phera .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 424
حدثنا عبد الله بن مسلمة، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن محمود بن الربيع، عن عتبان بن مالك،" ان النبي صلى الله عليه وسلم اتاه في منزله، فقال: اين تحب ان اصلي لك من بيتك؟ قال: فاشرت له إلى مكان، فكبر النبي صلى الله عليه وسلم وصففنا خلفه، فصلى ركعتين".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne Ibn Shihab ke wastay se bayan kiya , unhon ne Mahmood bin Rabia se unhon ne Itban bin Malik se jo nabina thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam un ke ghar tashreef laye . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne poocha ke tum apne ghar mein kahan pasand karte ho ke tumhare liye namaz parhun . Itban ne bayan kiya ke mein ne ek jagah ki taraf ishara kiya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne takbeer kahi aur hum ne aap salla Allahu alaihi wa sallam ke peechay saff bandhi phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne do rakat namaz nafl parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة