الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب فى المشيئة والإرادة:
Masheeat aur iraada ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7471
حدثنا ابن سلام، اخبرنا هشيم، عن حصين، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه حين نام عن الصلاة، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن الله قبض ارواحكم حين شاء، وردها حين شاء، فقضوا حوائجهم وتوضئوا إلى ان طلعت الشمس، وابيضت فقام فصلى".
Hum se Ibn Salam ne bayan kiya , kaha hum ko Hushaim ne khabar di , unhein Haseen ne , unhein Abdullah bin Abi Qatadah ne , unhein in ke walid ne ke jab sab log soye aur namaz qazha ho gayi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah tumhari roohon ko jab chahta hai روک deta hai aur jab chahta hai chhorr deta hai , pastum apni zarooraton se farigh ho kar wuzu karo , aakhir jab sooraj poori tarah tuloo ho gaya aur khoob din nikal aaya to Aap khare huay aur namaz parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 595
حدثنا عمران بن ميسرة، قال: حدثنا محمد بن فضيل، قال: حدثنا حصين، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال: سرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم ليلة، فقال بعض القوم: لو عرست بنا يا رسول الله، قال:" اخاف ان تناموا عن الصلاة، قال بلال: انا اوقظكم، فاضطجعوا واسند بلال ظهره إلى راحلته فغلبته عيناه فنام، فاستيقظ النبي صلى الله عليه وسلم وقد طلع حاجب الشمس، فقال: يا بلال، اين ما قلت؟ قال: ما القيت علي نومة مثلها قط، قال: إن الله قبض ارواحكم حين شاء وردها عليكم حين شاء يا بلال، قم فاذن بالناس بالصلاة فتوضا، فلما ارتفعت الشمس وابياضت قام فصلى".
Hum se Imran bin Maisara ne riwayat kiya , kaha hum se Muhammad bin Fudail ne bayan kiya , kaha ke hum se Husain bin Abdur Rahman ne Abdullah bin Abi Qatada se , unhon ne apne walid se , kaha hum Khaibar se lot kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath raat mein safar kar rahe thay . Kisi ne kaha ke ya Rasool Allah! aap ab padao daal dete to behtar hota . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke mujhe dar hai ke kahin namaz ke waqt bhi tum sote na reh jao . Is par Bilal raziyallahu anhu bole ke mein aap sab logon ko jaga dunga . Chunanched sab log let gaye . Aur Bilal raziyallahu anhu ne bhi apni peeth kajawa se laga li . Aur un ki bhi aankh lag gayi aur jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam bedar hue to sooraj ke upar ka hissa nikal chuka tha . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya Bilal! tu ne kya kaha tha . Woh bole aaj jaisi neend mujhe kabhi nahi aayi . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke Allah Taala tumhari arwah ko jab chahta hai qabz kar leta hai aur jis waqt chahta hai wapas kar deta hai . Aye Bilal! uth aur azan de . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne wudu kiya aur jab sooraj buland ho kar roshan ho gaya to aap salla Allahu alaihi wa sallam khare hue aur namaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة