الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7340
حدثنا مسدد، حدثنا عباد بن عباد، حدثنا عاصم الاحول، عن انس، قال:" حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين الانصار، وقريش في داري التي بالمدينة.
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abbad bin Abbad ne bayan kiya, kaha hum se Aasim al-Ahwal ne bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Ansar aur Quraish ke darmiyan mere is ghar mein bhai chara karaya jo Madinah Munawwara mein hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2294
حدثنا محمد بن الصباح، حدثنا إسماعيل بن زكرياء، حدثنا عاصم، قال: قلت لانس بن مالك رضي الله عنه: ابلغك ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا حلف في الإسلام"، فقال: قد حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين قريش، والانصار في داري.
Hum se Muhammad Bin Sabah ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Zakariya ne bayan kiya, un se Asim Bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se poocha kya aap ko ye baat maloom hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya tha, Islam mein jahiliyat wale (ghalat qism ke) ahad-o-paiman nahi hain. To unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne to khud Ansar aur Quraish ke darmiyan mere ghar in ahad-o-paiman karaya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة