الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Hadith Number: 7334
حدثنا ابن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، حدثني ابو حازم، عن سهل، انه كان" بين جدار المسجد مما يلي القبلة وبين المنبر ممر الشاة".
`Hum se Ibn Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Abu Gassan ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Hazim ne bayan kiya, un se Sahl Radi Allahu Anhu ne ke Masjid-e-Nabwi ki qibla ki taraf deewar aur mimbar ke darmiyan bakriyon ke guzarne jitna fasla tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 496
حدثنا عمرو بن زرارة، قال: اخبرنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال:" كان بين مصلى رسول الله صلى الله عليه وسلم وبين الجدار ممر الشاة".
Hum se Amr bin Zurara ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne apne walid Abu Hazim Salama bin Dinar se bayan kiya , unhon ne Sahl bin Saad se , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sajda karne ki jagah aur deewar ke darmiyan ek bakri ke guzar sakne ka fasla rehta tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة