الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب الصف الأول:
Bab: Saff-e-awwal (ke sawab ke bayan).
Hadith Number: 721
وقال: ولو يعلمون ما في التهجير لاستبقوا، ولو يعلمون ما في العتمة والصبح لاتوهما ولو حبوا، ولو يعلمون ما في الصف المقدم لاستهموا".
Farmaya ke agar log jaan lein jo sawab namaaz ke liye jaldi aane mein hai to ek doosre se aage barhen aur agar Isha aur subah ki namaaz ke sawab ko jaan lein to us ke liye zaroor ayen . Khwah sareen ke bal aana pare aur agar pehli saf ke sawab ko jaan lein to us ke liye qurah andazi karen .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 615
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لو يعلم الناس ما في النداء والصف الاول ثم لم يجدوا إلا ان يستهموا عليه لاستهموا، ولو يعلمون ما في التهجير لاستبقوا إليه، ولو يعلمون ما في العتمة والصبح لاتوهما ولو حبوا".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne Sumi se jo Abu Bakr Abdur Rahman bin Harith ke ghulam thay khabar di , unhon ne Abu Saleh Dhakwan se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke agar logon ko maloom hota ke azan kehne aur namaz pehli saff mein parhne se kitna sawab milta hai . Phir un ke liye qurah dalne ke siwa aur koi chara na baqi rehta , to albatta is par qurah andazi hi karte aur agar logon ko maloom ho jata ke namaz ke liye jaldi aane mein kitna sawab milta hai to is ke liye doosre se aage barhne ki koshish karte . Aur agar logon ko maloom ho jata ke isha aur subah ki namaz ka sawab kitna milta hai , to zaroor chotaron ke bal ghasitte hue un ke liye aate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2829
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الشهداء خمسة المطعون، والمبطون، والغرق، وصاحب الهدم، والشهيد في سبيل الله".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Sumi ne, unhein Abu Salih ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Shaheed panch qism ke hote hain. Taoon mein halak hone wala, pait ki bemari mein halak hone wala, doob kar marne wala, dab kar mar jaane wala aur Allah ke raste mein shahadat pane wala."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2830
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم، عن حفصة بنت سيرين، عن انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الطاعون شهادة لكل مسلم".
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Aasim ne khabar di Hafsa Bint Sireen se aur unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Taoon ki maut har musalman ke liye shahadat ka darja rakhti hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5732
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا عاصم، حدثتني حفصة بنت سيرين، قالت، قال لي انس بن مالك رضي الله عنه: يحيى بم مات، قلت: من الطاعون، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الطاعون شهادة لكل مسلم".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Aasim ne bayan kiya, kaha mujh se Hafsa bint Sireen ne bayan kiya, kaha ke mujh se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne poochha ke Yahya bin Sireen ka kis beemari mein intiqal hua tha. Main ne kaha ke taoon mein, bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke taoon har Musalman ke liye shahadat hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة