الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب إذا قضى الحاكم بجور أو خلاف أهل العلم فهو رد:
Jab haakim ka faisla zaalimaana ho ya ulama ke khilaaf ho to woh radd kar diya jaayega.
Hadith Number: 7189
حدثنا محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالدا. ح، وحدثني ابو عبد الله نعيم بن حماد، حدثنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالد بن الوليد إلى بني جذيمة، فلم يحسنوا ان يقولوا اسلمنا، فقالوا: صبانا صبانا، فجعل خالد يقتل وياسر، ودفع إلى كل رجل منا اسيره، فامر كل رجل منا ان يقتل اسيره، فقلت: والله لا اقتل اسيري ولا يقتل رجل من اصحابي اسيره، فذكرنا ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اللهم إني ابرا إليك مما صنع خالد بن الوليد مرتين".
`Hum se Mahmood ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kaha, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne unhein Salim ne aur unhein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Khalid Radi Allahu Anhu ko bheja. (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha aur mujh se Nu'aim bin Hammad ne bayan kiya kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, unhein un ke walid ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Khalid bin Waleed Radi Allahu Anhu ko Bani Jazeema ki taraf bheja (jab unhein Islam ki dawat di) to wo «Aslamna» (hum Islam laye) keh kar acchi tarah izhaar-e-Islam na kar sake balki kehne lage ke «Saba'na saba'na» (hum apne deen se phir gaye, hum apne deen se phir gaye) is par Khalid Radi Allahu Anhu unhein qatl aur qaid karne lage aur hum mein se har shakhs ko is ke hisse ka qaidi diya aur humein hukm diya ke har shakhs apne qaidi ko qatl kar de. Is par mein ne kaha ke wallah! mein apne qaidi ko qatl nahi karoon ga aur na mere sathiyoon mein koi apne qaidi ko qatl kare ga. Phir hum ne is ka zikr Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Ae Allah! mein is se bara'at zahir karta hoon jo Khalid bin Waleed ne kiya, do martaba.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4339
حدثني محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر. ح وحدثني نعيم، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالد بن الوليد إلى بني جذيمة فدعاهم إلى الإسلام، فلم يحسنوا ان، يقولوا: اسلمنا، فجعلوا يقولون صبانا صبانا، فجعل خالد يقتل منهم وياسر، ودفع إلى كل رجل منا اسيره، حتى إذا كان يوم امر خالد ان يقتل كل رجل منا اسيره، فقلت: والله لا اقتل اسيري، ولا يقتل رجل من اصحابي اسيره، حتى قدمنا على النبي صلى الله عليه وسلم فذكرناه، فرفع النبي صلى الله عليه وسلم يده، فقال:"اللهم إني ابرا إليك مما صنع خالد مرتين".
Mujh se Mahmood bin Ghaylan ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhein Mamar ne khabar di . (doosri sanad) aur mujh se Naeem bin Hammad ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Mamar ne , unhein Zuhri ne , unhein Salim ne aur un se un ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ko Bani Jazheema ki taraf bheja . Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ne unhein Islam ki dawat di lekin unhein «aslamna» ”hum Islam laye“ kehna nahi aata tha , is ke bajaye woh «saba'na , saba'na» ”hum be-deen ho gaye , yani apne aabayi deen se hat gaye“ kehne lage . Khalid razi Allahu anhu ne unhein qatl karna aur qaid karna shuru kar diya aur phir hum mein se har shakhs ko is ka qaidi is ki hifazat ke liye de diya phir jab ek din Khalid razi Allahu anhu ne hum sab ko hukm diya ke hum apne qaidiyon ko qatl kar dein . Main ne kaha: Allah ki qasam! Main apne qaidi ko qatl nahi karoon ga aur na mere sathiyon mein koi apne qaidi ko qatl kare ga aakhir jab hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Aap se surat e haal byaan kiya to Aap ne hath utha kar dua ki . Ae Allah! Main is fail se bezari ka aalan karta hoon , jo Khalid ne kiya . Do martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yahi farmaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة