الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب لا تقوم الساعة حتى يغبط أهل القبور:
Qiyamat qaim na ho gi yahan tak ke log qabr walon par rashk na karen.
Hadith Number: 7115
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى يمر الرجل بقبر الرجل، فيقول: يا ليتني مكانه".
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abuz Zinad ne, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat qaim na ho gi yahan tak ke ek shakhs doosre ki qabr ke paas se guzre ga aur kahe ga, kaash! mein isi ki jagah hota.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 85
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، عن سالم، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض العلم، ويظهر الجهل والفتن، ويكثر الهرج، قيل: يا رسول الله، وما الهرج؟ فقال: هكذا بيده، فحرفها كانه يريد القتل".
Hum se Makki Ibn-e-Ibrahim ne bayan kiya, unhein Hanzalah ne Salim se khabar di, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (ek waqt aisa aayega ke jab) ilm utha liya jaayega. Jahaalat aur fitne phail jaayenge aur Harj badh jaayega. Aap se poocha gaya ke ya RasoolAllah! Harj se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath ko harkat de kar farmaaya is tarah, goya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us se qatl muraad liya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة