الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب التعوذ من الفتن:
Fitnon se panah maangna.
Show diacritics
Hadith Number: 7089
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: سالوا النبي صلى الله عليه وسلم حتى احفوه بالمسالة،" فصعد النبي صلى الله عليه وسلم ذات يوم المنبر، فقال: لا تسالوني عن شيء إلا بينت لكم، فجعلت انظر يمينا وشمالا، فإذا كل رجل لاف راسه في ثوبه يبكي، فانشا رجل كان إذا لاحى يدعى إلى غير ابيه، فقال: يا نبي الله، من ابي، فقال: ابوك حذافة، ثم انشا عمر، فقال: رضينا بالله ربا، وبالإسلام دينا، وبمحمد رسولا، نعوذ بالله من سوء الفتن، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ما رايت في الخير والشر كاليوم قط، إنه صورت لي الجنة والنار حتى رايتهما دون الحائط، فكان قتادة يذكر هذا الحديث عند هذه الآية: يايها الذين آمنوا لا تسالوا عن اشياء إن تبد لكم تسؤكم سورة المائدة آية 101.
`Hum se Mu'az bin Fazala ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne logon se sawalat kiye aakhir jab log baar baar sawal karne lage to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mimbar par ek din chadhe aur farmaya ke aaj tum mujh se jo sawal bhi karo ge mein tumhein is ka jawab doon ga. Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke phir mein dayein bayein dekhne laga to har shakhs ka sar is ke kapre mein chhupa hua tha aur wo ro raha tha. Aakhir ek shakhs ne khamoshi todi. Is ka jab kisi se jhagda hota to unhein un ke baap ke siwa doosre baap ki taraf pukara jata. Unhon ne kaha: ya Rasul Allah! mere walid kaun hain? Farmaya tumhare walid Huzafa hain. Phir Umar Radi Allahu Anhu samne aaye aur arz kiya hum Allah se ke wo Rabb hai, Islam se ke wo deen hai, Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم se ke wo Rasul hain raazi hain aur aazmaish ki burayi se hum Allah ki panah maangte hain. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein ne khair o shar aaj jaisa dekha, kabhi nahi dekha tha. Mere samne jannat o dozakh ki surat pesh ki gayi aur mein ne unhein deewar ke qareeb dekha. Qatada ne bayan kiya ke yeh baat is ayat ke saath zikr ki jati hai «Ya ayyuhallazeena amanoo la tas'aloo an ashya'a in tubda lakum tasu'kum» ke ”Ae logo! jo iman laye ho aisi cheezon ke baare mein sawal na karo agar wo zahir kar di jayein to tumhein buri maloom hon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 93
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني انس بن مالك،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم خرج، فقام عبد الله بن حذافة، فقال: من ابي؟ فقال: ابوك حذافة، ثم اكثر ان يقول سلوني، فبرك عمر على ركبتيه، فقال: رضينا بالله ربا وبالإسلام دينا وبمحمد صلى الله عليه وسلم نبيا"، فسكت.
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, unhein Sho’aib ne Zohri se khabar di, unhein Anas bin Malik ne batlaaya ke (ek din) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ghar se nikle to Abdullah bin Hudhafa khade ho kar poochne lage ke ya RasoolAllah! Mera baap kaun hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: Hudhafa, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne baar baar farmaaya ke mujh se poocho, to Umar Radhiallahu Anhu ne do zaanu ho kar arz kiya ke hum Allah ke Rabb hone par, Islam ke deen hone, aur Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ke Nabi hone par raazi hain (aur yeh jumla) teen martaba (dohraaya) phir (yeh sun kar) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam khamoosh ho gaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة